Two Line Duniya Shayari in Hindi

Advertisement

Duniya Shayari in Hindi

सीख रहा हूँ धीरे-धीरे इस दुनिया के रिवाज,
जिससे मतलब निकल गया उसे दिल से निकाल दो।
Seekh Raha Hoon Dheere-Dheere Is Duniya Ke Rivaaj,
JisSe Matlab Nikal Gaya Use Dil Se Nikaal Do.

शाख से तोड़े गए फूल ने हँस कर ये कहा,
अच्छा होना भी बुरी बात है इस दुनिया में।
Shakh Se Tode Gaye Phool Ne Hans Kar Ye Kaha,
Achchha Hona Bhi Buri Baat Hai Iss Duniya Mein.

Advertisement

तेरे आज़ाद बन्दों की ना ये दुनिया ना वो दुनिया,
यहाँ मरने की पाबंदी, वहां जीने की पाबंदी।
Tere Aazad Bando Ki Na Ye Duniya Na Wo Duniya,
Yahan Marne Ki Pabandi Wahan Jeene Ki Pabandi.

सिर्फ़ अंदाज़-ए-बयान बात बदल देता है,
वरना दुनिया में कोई नई बात नहीं होती।
Sirf Andaaz-e-Bayaan Baat Badal Deta Hai,
Varna Duniya Mein Koi Nayi Baat Nahi Hoti.

बेवफा दुनिया में कौन सारी ज़िन्दगी साथ देगा,
लोग दफना के भूल जाते हैं कि कब्र कौन सी थी।
Bewafa Duniya Mein Kaun Saari Zindagi Sath Dega,
Log Dafna Ke Bhool Jate Hain Ke Qabr Kaun Si Thi.

बारूद के इक ढेर पे बैठी हुई दुनिया,
शोलों से हिफ़ाजत का हुनर पूछ रही है।
Barood Ke Ek Dhher Par Baithhi Hui Ye Duniya,
Sholon Se Hifajat Ka Hunar Poochh Rahi Hai.

Advertisement

Jahan Qatil Hi Khud Poochhe

Kagaz Bhi Akhbaar Ban Jata Hai

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi