Two Line Chiraag Shayari in Hindi

Advertisement

तुम्हारा सिर्फ इन हवाओं पे शक़ गया होगा,
चिराग खुद भी तो जल-जल के थक गया होगा।
Tumhara Sirf In Hawaaon Pe Shaq Gaya Hoga,
Chiraag Khud Bhi To Jal-Jal Ke Thak Gaya Hoga.

Chirag Thak Gaya Hoga

हवा से कह दो खुद को आज़मा के दिखाये,
बहुत चिराग बुझाती है एक जला के दिखाये।
Hawa Se Keh Do Khud Ko Aazma Ke Dikhaye,
Bahut Chiraag Bujhati Hai Ek Jala Ke Dikhaye.

लकड़ी के मकानों में चिरागों को न रखिये,
अपने भी यहाँ आग बुझाने नहीं आते।
Lakdi Ke Makaano Mein Chiraago Ko Na Rakhiye,
Apne Bhi Yahan Aag Bujhaane Nahi Aate.

बुझने से जिस चिराग ने इंकार कर दिया,
चक्कर लगा रही है हवा उसी के आस-पास।
Bujhne Se Jis Chiraag Ne Inkaar Kar Diya,
Chakkar Laga Rahi Hai Hawa Usi Ke Aas-Paas.

Advertisement

अभी महफ़िल में चेहरे नादान नजर आते हैं,
लौ चिरागों की जरा और घटा दी जाये।
Abhi Mehfil Mein Chehre Naadan Najar Aate Hain,
Lau Chiraagon Ki Jara Aur Ghata Di Jaye.

जो रोशनी में खड़े हैं वो जानते ही नहीं,
हवा चले तो चिरागों की ज़िन्दगी क्या है।
Jo Roshani Me Khade Hain Wo Jante Hi Nahi,
Hawaa Chale To Chiraagon Ki Zindagi Kya Hai.

Waseem Barelvi Chirag Shayari :-

रात तो वक़्त की पाबंद है ढल जाएगी,
देखना ये है चिरागों का सफ़र कितना है।
Raat To Waqt Ki Paband Hai Dhal Jayegi,
Dekhna Ye Hai Chiraagon Ka Safar Kitna Hai.

जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा,
किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता।
Jahan Rahega Wahin Roshni Lutayega,
Kisi Chirag Ka Apna Makaan Nahi Hota.

चराग़ घर का हो महफ़िल का हो कि मंदिर का,
हवा के पास कोई मस्लहत नहीं होती।
Chirag Ghar Ka Ho Mehfil Ka Ho Ki Mandir Ka,
Hawa Ke Paas Koi Maslahat Nahi Hoti.

Advertisement

KhudGarzi Ka Zamana 2 Line Poetry

Two Line Poetry, Ye Kahan Mumkin Hai

Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi