Two Line Poetry, Ye Kahan Mumkin Hai
ये कहाँ मुमकिन है कि हर लफ़्ज़ बयाँ हो,
कुछ परदे हो दरमियाँ ये भी तो लाज़मी है।
Ye Kahan Mumkin Hai Ke Har Lafz Bayaan Ho,
Kuchh Parde Hon Darmiyaan Ye Bhi To Lazimi Hai.
इरादे बाँधता हूँ, सोचता हूँ, तोड़ देता हूँ,
कहीं ऐसा न हो जाये, कहीं वैसा न हो जाये।
Iraade Baandhta Hoon, Sochta Hoon, Tod Deta Hoon,
Kahin Aisa Na Ho Jaye, Kahin Waisa Na Ho Jaye.
हर नजर में मुमकिन नहीं है बेगुनाह रहना,
वादा ये करें कि खुद की नजर में बेदाग रहें।
Har Najar Mein Mumkin Nahin Hai BeGunaah Rahna,
Vaada Ye Karein Ki Khud Ki Najar Mein Bedaag Rahein.
अच्छा यकीन नहीं है तो कश्ती डुबा के देख,
एक तू ही नाखुदा नहीं ज़ालिम खुदा भी है।
Achchha Yekeen Nahi Hai To Kashti Duba Ke Dekh,
Ek Tu Hi Nakhuda Nahi Zalim Khuda Bhi Hai.
घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि घर को बचायें कैसे।
Ghar Sajaane Ka Tasawwar To Bahut Baad Ka Hai,
Pehle Ye Tay Ho Jaye Ki Ghar Ko Bachayein Kaise.