Kagaz Bhi Akhbaar Ban Jata Hai
भूल कर भी अपने दिल की बात किसी से मत कहना,
यहाँ कागज भी जरा सी देर में अखबार बन जाता है।
Bhool Kar Bhi Apne Dil Ki Baat Kisi Se Mat Kahna,
Yahan Kagaz Bhi Jara Si Der Mein Akhbaar Ban Jata Hai.
कफस में मुझसे रुदादे-चमन कहते न डर हमदम,
गिरेगी जिसपे कल बिजली वो मेरा आशियाँ क्यों हो।
Kafas Mein Mujhse Rudaad-e-Chaman Kehte Na Darr HumDum,
Giregi Jispe Kal Bijali Wo Mera Aashiyan Kyun Ho.
जिस नजाकत से ये लहरें मेरे पैरों को छूती है,
यकीन नहीं होता इन्होंने कभी कश्तियाँ डुबायीं होगी।
Jis Najaqat Se Ye Lahrein Mere Pairon Ko Chhooti Hain,
Yakeen Nahi Hota Inhone Kabhi Kashtiyan Dubayi Hongi.