Fitrat Chhupa Rakhi Hai

Advertisement

सारी फितरत नकाबों में छुपा रखी है,
​सिर्फ तस्वीर उजालों में लगा रखी है।
Saari Fitrat Naqaabon Mein Chhupa Rakhi Hai,
Sirf Tasveer Hi Ujalon Mein Laga Rakhi Hai.

तहज़ीब के खिलाफ हुआ सच का बोलना,
अब झूठ ज़िन्दगी के सलीक़े में आ गया।
Tehzeeb Ke Khilaaf Hua Sach Ka Bolna,
Ab Jhoothh Zindagi Ke Saleeke Mein Aa Gaya.

Advertisement

मैं घर से तेरी तमन्ना पहन के जब निकलूँ,
बरहना शहर में कोई नज़र ना आए मुझे।
Main Ghar Se Teri Tamanna Pahan Ke Jab Niklu,
Barhana Shahar Mein Koi Najar Na Aaye Mujhe.

ऊँची इमारतों से मकान मेरा घिर गया​,
​कुछ लोग मेरे हिस्से का सूरज भी खा गए।
Unchi Imaaraton Se Makaan Mera Ghir Gaya,
Kuchh Log Mere Hisse Ka Suraj Bhi Kha Gaye.

Advertisement
Advertisement

Read more Two Line Shayari in Hindi