कहाँ तक भागूं शीशे का मुक़द्दर लेकर।
Zamana Khada Hai Haatho Mein Patthar Lekar,
Kahan Tak Bhaagu Sheeshe Ka Muqaddar Lekar.
मैं शिकवा करूँ भी तो किस से करूँ,
अपना ही मुक़द्दर है अपनी ही लकीरें हैं।
Main Shiqwa Karoon Bhi To Kis Se Karoon,
Apna Hi Muqaddar Hai Apni Hi Lakeerein Hain.
अजीब रंग का मौसम चला है कुछ दिन से,
नजर पे बोझ है और दिल खफा है कुछ दिन से,
वो और था जिसे तू जानता था बरसों से,
मैं और हूँ जिसे तू मिल रहा है कुछ दिन से।
Ajeeb Rang Ka Mausam Ho Chala Hai Kuchh Din Se,
Najar Pe Bojh Hai Aur Dil Khafa Hai Kuchh Din Se,
Wo Aur Tha Jise Tu Jaanta Tha Barson Se,
Main Aur Hoon Jise Tu Mil Raha Hai Kuchh Din Se.
तुम बहते पानी से हो हर शक्ल में ढल जाते हो,
मैं रेत सा हूँ मुझसे कच्चे घर भी नहीं बनते।
Tum Bahete Paani Se Ho Har Shakl Mein Dhhal Jaate Ho,
Main Ret Sa Hoon Mujhse Kachche Ghar Bhi Nahi Bante.
चमन में रहने वालों से तो हम सहरा-नशीं अच्छे,
बहार आके चली जाती है वीरानी नहीं जाती।
Chaman Mein Rehne Walo Se To Hum Sahra-Nashin Achhe,
Bahaar Aa Ke Chali Jati Hai Veerani Nahi Jaati.
नसीब बनकर कोई ज़िन्दगी में आता है,
फिर ख्वाब बनकर आँखों में समा जाता है,
यकीन दिलाता है कि वो हमारा ही है,
फिर न जाने क्यूँ वक़्त के साथ बदल जाता है।
Naseeb Ban Kar Koyi Zindagi Mein Aata Hai,
Fir Khawab Ban Kar Aankhon Mein Samaa Jata Hai,
Yakeen Dilata Hai Ki Wo Humara Hi Hai,
Fir Na Jaane Kyun Waqt Ke Sath Badal Jata Hai.
कुछ इतने दिए हसरत-ए-दीदार ने धोखे,
वो सामने बैठे हैं यकीन हम को नहीं है।
Kuchh Itne Diye Hain Hasrat-e-Deedar Ne Dhokhe,
Wo Saamne Baithhe Hain Yakeen Hum Ko Nahi Hai.
भूल पाना मुझे इतना आसान तो नहीं है,
बातों-बातों में ही बातों से निकल आऊंगा।
Bhool Paana Mujhe Itna Aasaan To Nahi Hai,
Baaton-Baaton Mein Hi Baaton Se Nikal Jaunga.