Sad Shayari in Hindi | हिंदी में सैड शायरी

Advertisement

Nahi Aana Iss Duniya Mein

बहुत लहरों को पकड़ा डूबने वाले के हाथों ने,
यही बस एक दरिया का नजारा याद रहता है,
मैं किस तेजी से ज़िंदा हूँ मैं ये भूल जाता हूँ,
नहीं आना इस दुनिया में दोबारा याद रहता है।

Bahut Laheron Ko Pakda Doobne Wale Ke Haathon Ne,
Yahi Bas Ek Dariya Ka Najaara Yaad Raheta Hai,
Main Kis Teji Se Zinda Hoon Maine Ye Bhool Jata Hoon,
Nahi Aana Iss Duniya Mein Dobara Yaad Raheta Hai.

Sad Shayari Nahi Aana Iss Dunia Mein

Advertisement

Sad Shayaris, Ye Ishq Jiske Kahar Se

ये इश्क़ जिसके कहर से डरता है ज़माना,
कमबख्त मेरे सब्र के टुकड़ों पे पला है।
Ye Ishq Jiske Kahar Se Darrta Hai Zamana,
Kambakht Mere Sabr Ke Tukdon Pe Pala Hai.

बारिश में भीगने के ज़माने गुजर गए,
वो शख्स मेरा शौक चुरा कर चला गया।
Barish Mein Bheegne Ke Zamane Gujar Gaye,
Wo Shakhs Mera Shauk Chura Kar Chala Gaya.

Advertisement

Main Wo Phool Hoon Jo Udaas Hai

न किसी के दिल की हूँ आरजू,
न किसी नजर की हूँ जुस्तजू,
मैं वो फूल हूँ जो उदास है,
न बहार आए तो क्या करूँ।
Na Kisi Ke Dil Ki Hoon Aarzoo,
Na Kisi Najar Ki Hoon Justjoo,
Main Wo Phool Hoon Jo Udaas Hai,
Na Bahaar Aaye To Kya Karoon.

Main Wo Phool Hoon Jo Udaas Hai Shayari

Advertisement

Mere Wajood Ko Tarsegi

रूठा अगर तुझसे तो इस अंदाज से रूठूंगा,
तेरे शहर की मिट्टी भी मेरे वजूद को तरसेगी।
Roothha Agar Tujhse To Iss Andaaz Se Roothhunga,
Tere Shahar Ki Mitti Bhi Mere Wajood Ko Tarsegi.

तू रूठकर गया है तो मत आ के मुझसे मिल,
मंज़र तेरी शिकस्त का मुझसे देखा न जाएगा।
Tu Roothh Kar Gaya Hai To Mat Aake Mujhse Mil,
Manzar Teri Shikast Ka Mujhse Dekha Na Jayega.

Advertisement

Kis Fikr Kis Khayal Mein

किस फिक्र किस ख्याल में खोया हुआ सा है,
दिल आज तेरी याद को भूला हुआ सा है,
गुलशन में इस तरह कब आई थी बहार
हर फूल अपनी शाख से टूटा हुआ सा है।

Kis Fikr Kis Khayal Mein Khoya Hua Sa Hai,
Dil Aaj Teri Yaad Ko Bhoola Hua Sa Hai,
Gulshan Mein Iss Tarah Kab Aayi Thi Bahar,
Har Phool Apni Shaakh Se Toota Hua Sa Hai.