Koi Shakhs Rulane Nahi Aaya

Advertisement

मुद्दत से कोई शख्स रुलाने नहीं आया,
जलती हुई आँखों को बुझाने नहीं आया,
जो कहता था कि रहेंगे उम्र भर साथ तेरे,
अब रूठे हैं तो कोई मनाने नहीं आया।

Muddat Se Koi Shakhs Rulane Nahi Aaya,
Jalti Huyi Aankhon Ko Bujhaane Nahi Aaya,
Jo Kehta Tha Ki Rahenge Umr Bhar Saath Tere,
Ab Roothhe Hain To Koi Manaane Nahi Aaya.

दिल अमीर था मगर मुकद्दर गरीब था,
मिलकर बिछड़ना तो हमारा नसीब था,
हम चाह कर भी कुछ कर न सके,
घर जलता रहा और समंदर करीब था।

Advertisement

Dil Ameer Tha Magar Muqadar Gareeb Tha,
Mil Kar Bichhadna To Humara Naseeb Tha,
Hum Chaah Kar Bhi Kuchh Kar Na Sake,
Ghar Jalta Raha Aur Samundar Kareeb Tha.

अगर यकीन होता कि कहने से रुक जायेंगे,
तो हम भी हँस कर उनको पुकार लेते,
मगर नसीब को मेरे ये मंजूर नहीं था,
कि हम भी दो पल खुशी के गुजार लेते।

Agar Yakeen Hota Ki Kehne Se Ruk Jaayenge,
To Hum Bhi Hanskar Unko Pukaar Lete,
Magar Naseeb Ko Mere Ye Manjoor Nahi Tha,
Ki Hum Bhi Do Pal Khushi Se Gujaar Lete.

Advertisement

Mushkil Sawaal Poochhte Ho

Fark Hota Hai Chaahato Mein

Advertisement

Read more Sad Shayari in Hindi