मोहब्बत हो भी जाए तो उसे मशहूर मत करना।
Yeh Duniya Tumhein Ek Pal Mein Barbaad Kar Degi,
Mohabbat Ho Bhi Jaye To Use MashHoor Mat Karna.
आसान नहीं आबाद करना घर मोहब्बत का,
ये उनका काम है जो ज़िन्दगी बर्बाद करते हैं।
Aasaan Nahi Aabaad Karna Ghar Mohabbat Ka,
Ye Unka Kaam Hai Jo Zindagi Barbaad Karte Hain.
इश्क़ मोहब्बत की बातें कोई न करना,
एक शख्स ने जी भर के हमें रुलाया जो है।
Ishq Mohabbat Ki Baatein Koi Na Karna,
Ek Shakhs Ne Jee Bhar Ke Humein Rulaya Jo Hai.
क्यूँ वो रूठे इस कदर कि मनाया ना गया,
दूर इतने हो गए कि पास बुलाया ना गया,
दिल तो दिल था कोई समंदर का साहिल नहीं,
लिख दिया जो नाम वो फिर मिटाया ना गया।
Kyun Wo Ruthhe Iss Kadar Ki Manaya Na Gaya,
Door Itne Ho Gaye Ke Paas Bulaya Na Gaya,
Dil To Dil Tha Koi Samandar Ka Saahil Nahi,
Likh Diya Jo Naam Wo Fir Mitaya Na Gaya.
ये मुकरने का अंदाज़ मुझे भी सिखा दे कोई,
वादे निभा-निभा के अब थक गया हूँ मैं।
Ye Mukarne Ka Andaaz Mujhe Bhi Sikha De Koi,
Vaade Nibha-Nibha Ke Ab Thak Gaya Hoon Main.
न हाथ थाम सके और न पकड़ सके दामन,
बहुत ही क़रीब से गुजर कर बिछड़ गया कोई।
Na Haath Thaam Sake Aur Na Pakad Sake Daaman,
Bahut Hi Kareeb Se Gujar Kar Bichhad Gaya Koi.
जब्त से काम लिया दिल ने तो क्या फ़िक्र करूँ,
इसमें क्या इश्क़ की इज्ज़त थी कि रुसवा न हुआ,
वक्त फिर ऐसा भी आया कि उससे मिलते हुए,
कोई आँसू भी ना गिरा कोई तमाशा ना हुआ।
Zabt Se Kaam Liya Dil Ne To Kya Fiqr Karoon,
Ismein Kya Ishq Ki Izzat Thi Ke Ruswaa Na Hua,
Waqt Fir Aisa Bhi Aaya Ke UsSe Milte Huye,
Koi Aansoo Bhi Na Gira Koi Tamasha Na Hua.