अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई।
Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Gujarta Bhi Nahi,
Ab Kis Ummid Pe Darwaaze Se Jhanke Koi.
वक़्त के साथ बदलना तो बहुत आसान था,
मुझसे हर लम्हा मुखातिब रही ग़ैरत मेरी।
Waqt Ke Saath Badlna To Bahut Aasaan Tha,
Mujhse Har Lamha Mukhatib Rahi Ghairat Meri.
ठुकरा के उसने मुझे कहा कि मुस्कुराओ,
मैं हँस दिया सवाल उसकी ख़ुशी का था,
मैंने खोया वो जो मेरा था ही नहीं कभी,
उसने खोया वो जो सिर्फ उसी का था।
Thhukra Ke Usne Mujhe Kaha Ke Muskurao,
Main Hans Diya Ke Sawaal Uski Khushi Ka Tha,
Maine Khoya Wo Jo Mera Tha Hi Nahi Kabhi,
Usne Khoya Wo Jo Sirf Usi Ka Tha.
चेहरे अजनबी हो जाये तो कोई बात नहीं,
मोहब्बत अजनबी होकर बड़ी तकलीफ देती है।
Chehre Ajnabi Ho Jaye To Koyi Baat Nahi.
Mohabbat Ajnabi Hokar Badi Takteef Deti Hai.
एक न एक दिन मैं ढूँढ ही लूंगा तुमको,
ठोंकरें ज़हर तो नहीं कि खा भी ना सकूँ।
Ek Na Ek Din Main Dhoondh Hi Lunga Tumko,
Thhokrein Zeher To Nahi Ke Kha Bhi Na Saku.
खोया इतना कुछ कि हमें पाना न आया,
प्यार कर तो लिया पर जताना न आया,
आ गए तुम इस दिल में पहली नज़र में,
बस हमें आपके दिल में समाना ना आया।
Khoya Itna Kuchh Ki Humein Paana Na Aaya,
Pyar Kar To Liya Par Jataana Na Aaya,
Aa Gaye Tum Iss Dil Mein Pehli Najar Mein,
Bas Humein Aapke Dil Mein Samana Na Aaya.
मत चाहो किसी को इतना टूटकर ज़िन्दगी में,
अगर बिछड़ गये तो हर एक अदा तंग करेगी।
Mat Chaaho Kisiko Itna Tootkar Zindagi Mein,
Agar Bichhad Gaye To Har Adaa Tang Karegi.
तुम भी कर के देख लो मोहब्बत किसी से,
जान जाओगे कि हम मुस्कुराना क्यों भूल गए।
Tum Bhi Kar Ke Dekh Lo Mohabbat Kisi Se,
Jaan Jaoge Ki Hum Muskurana Kyun Bhool Gaye.