- Home
- Page-80
ShayariLovers
हमें उसने सताया भी नहीं
प्यास दिल की बुझाने वो कभी आया भी नहीं,
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं,
बेरुख़ी इस से बड़ी और भला क्या होगी,
एक मुद्दत से हमें उसने सताया भी नहीं।
Pyaas Dil Ki Bujhaane Wo Kabhi Aaya Bhi Nahi,
Kaisa Baadal Hai Jiska Koi Saaya Bhi Nahi,
Berukhi Iss Se Badi Aur Bhala Kya Hogi,
Ek Muddat Se Humein Usne Sataya Bhi Nahi.
बढ़ जाये ताल्लुक तो ग़म मिलते हैं
हद से बढ़ जाये ताल्लुक तो ग़म मिलते हैं,
हम इसी वास्ते अब हर शख्स से कम मिलते हैं।
Hadd Se Barh Jaayein Talluk To Gham Milte Hain,
Hum Isee Vaste Ab Har Shakhs Se Kam Milte Hain.
ग़म किस को नहीं तुझको भी है मुझको भी है,
चाहत किसी एक की तुझको भी है मुझको भी है।
Gham Kis Ko Nahi Tujhko Bhi Hai MujhKo Bhi Hai,
Chahat Kisi Ek Ki TujhKo Bhi Hai MujhKo Bhi Hai.
सुलगती ज़िन्दगी से मौत आ जाए तो बेहतर है,
हमसे दिल के अरमानों का अब मातम नहीं होता।
Sulagti Zindagi Se Maut Aa Jaye To Behtar Hai,
Hum Se Dil Ke Armaano Ka Ab Maatam Nahi Hota.
Unke Haath Peele Ho Gaye

जवानी के दिन चमकीले हो गए,
हुस्न के तेवर भी नुकीले हो गए,
हम इज़हार करने में रह गए,
उधर उनके हाथ पीले हो गए।
Jawani Ke Din Chamkeele Ho Gaye,
Husn Ke Tevar Bhi Nukile Ho Gaye,
Hum Izhaar Karne Mein Reh Gaye,
Aur Udhar Unke Haath Peele Ho Gaye.
दो लाइन की रिश्ते शायरी

कुछ इस तरह खूबसूरत रिश्ते टूट जाया करते हैं,
दिल भर जाता है तो लोग रूठ जाया करते हैं।
Kuchh Is Tarah Khoobsurat Rishtey Toot Jaya Karte Hain,
Dil Bhar Jata Hai To Log Roothh Jaya Karte Hain.
मशरूफ रहने का अंदाज़ तुम्हें तन्हा ना कर दे,
रिश्ते फुर्सत के नहीं तवज्जो के मोहताज़ होते हैं।
Mashroof Rehne Ka Andaaz Tumhein Tanha Na Kar De,
Rishtey Fursat Ke Nahi Tawajjo Ke Mohtaaz Hote Hain.
Pyar Ka Dard Meetha Hota Hai
न जाने उस पर इतना यकीन क्यूँ है,
उसका ख्याल भी इतना हसीं क्यूँ है,
सुना है प्यार का दर्द मीठा होता है,
तो आँख से निकला आँसू नमकीन क्यूँ है।
Na Jaane Uss Par Itna Yakeen Kyun Hai,
Uska Khayal Bhi Itna Haseen Kyun Hai,
Suna Hai Pyar Ka Dard Meetha Hota Hai,
To Aankh Se Nikla Aansoo Namkeen Kyun Hai.
