ShayariLovers

Advertisement

Faisla Ye Bhi Mushkil Hai

फैसला ये भी मेरे यार बहुत मुश्किल है,
तेरे ज़ुल्म सहें या कि फ़ना हो जाएँ।
Faisla Ye Bhi Mere Yaar Bahut Mushkil Hai,
Tere Zulm Sahein Ya Ke Fanaa Ho Jayein.

Zulm Sahein Ya Fanaa Ho Jayein

दर्द में भी ये लब मुस्कुरा जाते हैं,
बीते लम्हे हमें जब भी याद आते है।
Dard Mein Bhi Ye Lab Muskura Jaate Hain,
Beete Lamhe Humein Jab Bhi Yaad Aate Hain.

हिंदी में खूबसूरत पर्दा शायरी

हमारा क़त्ल करने की उनकी साजिश तो देखो,
गुजरे जब करीब से तो चेहरे से पर्दा हटा लिया।
Humara Qatl Karne Ki Unki Saajish To Dekho,
Gujre Jab Kareeb Se To Chehre Se Parda Hata Diya.

Beautiful Parda Shayari in Hindi

पर्दा-ए-लुत्फ़ में ये ज़ुल्म-ओ-सितम क्या कहिए,
हाय ज़ालिम तेरा अंदाज़-ए-करम क्या कहिए।
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye,
Haye Zalim Tera Andaaz-e-Karam Kya Kahiye.

Unchi Aukaat Rakhi Hai

Shayari Unchi Aukaat Rakhi Hai

मिला हूँ खाक में ऊँची मगर औकात रखी है,
तुम्हारी बात थी आखिर तुम्हारी बात रखी है,
भले ही पेट की खातिर कहीं दिन बेच आया हूँ,
तुम्हारी याद की खातिर भी पूरी रात रखी है।

Mila Hoon Khaak Mein Unchi Magar Aukaat Rakhi Hai,
Tumhari Baat Thi Aakhir Tumhari Baat Rakhi Hai,
Bhale Hi Pet Ki Khatir Kahin Din Bech Aaya Hoon,
Tumhari Yaad Ki Khatir Bhi Poori Raat Rakhi Hai.

Mere Bina Wo Adhura Lagta Hai

खुद को वो चाहे लाख मुकम्मल समझे,
लेकिन मेरे बिना, वो मुझे अधूरा ही लगता है।
Khud Ko Wo Chaahe Laakh Mukammal Samjhe,
Lekin Mere Bina Wo Mujhe Adhura Hi Lagta Hai.

काश वो आ जायें और देख कर कहें मुझसे,
हम मर गये हैं क्या? जो इतने उदास रहते हो।
Kaash Wo Aaye Aur Dekh Kar Kahe Mujhse,
Hum Mar Gaye Hain Kya? Jo Itne Udaas Rahte Ho.

Dil To Aksar Bhar Jate Hain

अगर ताल्लुक हो तो रूह से रूह का हो,
दिल तो अक्सर एक दूसरे से भर जाते हैं।
Agar Talluq Ho To Rooh Se Rooh Ka Ho,
Dil To Aksar Ek Doosre Se Bhar Jate Hain.

मुझ को मज़ा है छेड़ का दिल मानता नहीं,
गाली सुने बगैर सितमगर कहे बगैर।
Mujhko Mazaa Hai Chhed Ka Dil Maanta Nahi,
Gaali Sune Bagair SitamGar Kahe Bagair.

12345Next ›