- Home
- Page-143
ShayariLovers
Meri Maut Ka Manjar
कितना दिल-फरेब होगा वो मेरी मौत का मंजर,
मुझे ठुकराने वाले मेरे लिए आँसू बहायेंगे।
Kitna Dil-Fareb Hoga Woh Meri Maut Ka Manjar,
Mujhe Thukrane Wale Mere Liye Aansu Bahayange.
उनके साथ जीने का एक मौका दे दे ऐ खुदा,
तेरे साथ तो हम मरने के बाद भी रह लेंगे।
Unke Saath Jeene Ka Ek Mauka De De Aye Khuda,
Tere Saath To Hum Marne Ke Baad Bhi Rah Lenge.
मौत से क्यों इतनी दहशते-जान है अजीज,
मौत आने के लिए है, जान जाने के लिए है।
Maut Se Kyun Itni Dehshate-Jaan Hai Ajeez,
Maut Aane Ke Liye Hai Jaan Jaane Ke Liye Hai.
ओढ़ कर मिट्टी की चादर बेनिशान हो जायेंगे,
एक दिन आएगा हम भी दास्ताँ हो जायेंगे।
Odh Kar Mitti Ki Chaadar BeNishan Ho Jayenge,
Ek Din Aayega Hum Bhi Dastaan Ho Jayenge.
Manzil Bhi Tum Ho
मंजिल भी तुम हो तलाश भी तुम हो,
उम्मीद भी तुम हो आस भी तुम हो,
इश्क भी तुम हो और जूनूँ भी तुम ही हो,
अहसास तुम हो प्यास भी तुम ही हो।
Manzil Bhi Tum Ho Talaash Bhi Tum Ho,
Ummeed Bhi Tum Ho Aas Bhi Tum Ho,
Ishq Bhi Tum Ho Junoon Bhi Tum Hi Ho,
Ehsaas Tum Ho Pyaas Bhi Tum Hi Ho.
Toote Huye Dil Dua Maangi
टूटे हुए दिल ने भी उसके लिए दुआ मांगी,
मेरी हर साँस ने उसके लिए ख़ुशी मांगी,
न जाने कैसी दिल्लगी थी उस बेवफा से,
आखिरी ख्वाहिश में उसकी ही वफ़ा मांगी।
Toote Huye Dil Ne Bhi Uske Liye Dua Maangi,
Meri Har Saans Ne Uske Liye Khushi Maangi,
Na Jaane Kaisi Dillagi Thi Uss Bewafa Se,
Aakhiri Khwahish Mein Bhi Uski Hi Wafa Maangi.
Wo Shakhs Gujarta Nahi
अब तो इस राह से वो शख़्स गुजरता भी नहीं,
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई।
Ab To Iss Raah Se Wo Shakhs Gujarta Bhi Nahi,
Ab Kis Ummid Pe Darwaaze Se Jhanke Koi.

वक़्त के साथ बदलना तो बहुत आसान था,
मुझसे हर लम्हा मुखातिब रही ग़ैरत मेरी।
Waqt Ke Saath Badlna To Bahut Aasaan Tha,
Mujhse Har Lamha Mukhatib Rahi Ghairat Meri.
Thhukra Ke Usne Mujhe
ठुकरा के उसने मुझे कहा कि मुस्कुराओ,
मैं हँस दिया सवाल उसकी ख़ुशी का था,
मैंने खोया वो जो मेरा था ही नहीं कभी,
उसने खोया वो जो सिर्फ उसी का था।
Thhukra Ke Usne Mujhe Kaha Ke Muskurao,
Main Hans Diya Ke Sawaal Uski Khushi Ka Tha,
Maine Khoya Wo Jo Mera Tha Hi Nahi Kabhi,
Usne Khoya Wo Jo Sirf Usi Ka Tha.
