एक दिन हमारी मोहब्बत का,
महफिल में जो हमको छोड़ कर,
सब को सलाम करते हो।
Yoon Bhi To Raaz Khul Hi Jayega,
Ek Din Humari Mohabbat Ka,
Mehfil Mein Jo Hum Ko Chhod Kar,
Sab Ko Salaam Karte Ho.
दावे मोहब्बत के मुझे नहीं आते सनम,
एक जान है जब दिल चाहे माँग लेना।
Daawe Mohabbat Ke Mujhe Nahi Aate Sanam,
Ek Jaan Hai Jab Dil Chaahe Maang Lena.
बच जाए जवानी में जो इश्क की हवा से,
होता है फ़रिश्ता कोई इंसान नहीं होता।
Bach Jaye Jawani Mein Jo Ishq Ki Hawa Se,
Hota Hai Farishta Koi Insaan Nahi Hota.
जब खामोश आँखों से बात होती है
ऐसे ही मोहब्बत की शुरुआत होती है
तुम्हारे ही ख्यालों में खोये रहते हैं
पता नहीं कब दिन और कब रात होती है।
Jab Khamosh Aankhon Se Baat Hoti Hai.
Aise Hi Mohabbat Ki Shuruat Hoti Hai.
Tumhare Hi Khyalo Mein Khoye Rehte Hai.
Pata Nahi Kab Din Aur Kab Raat Hoti Hai.
अपनी मोहब्बत पे फक़त इतना भरोसा है मुझे,
मेरी वफायें तुझे किसी और का होने न देंगी।
Apni Mohabbat Pe Faqat Itna Bharosa Hai Mujhe,
Meri Wafayein Tujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Dengi.
टपकती है निगाहों से बरसती है अदाओं से,
मोहब्बत कौन कहता है कि पहचानी नहीं जाती।
Tapakti Hai Nigaahon Se Barasti Hai Adaaon Se,
Mohabbat Kaun Kehta Hai Ke Pehchaani Nahi Jati.
तुम्हें नींद नहीं आती तो कोई और वजह होगी,
अब हर ऐब के लिए कसूरवार इश्क तो नहीं।
Tumhein Neend Nahin Aati To Koi Aur Wajah Hogi,
Ab Har Aib Ke Liye QasoorWar Ishq To Nahin.
ना जाने मोहब्बत में कितने अफसाने बन जाते हैं,
शमां जिसको जलाती है वो परवाने बन जाते हैं,
कुछ हासिल करना ही प्यार की मंजिल नहीं होती,
किसी को खोकर भी कुछ लोग दीवाने बन जाते हैं।
Na Jane Mohabbat Mein Kitne Afsaane Ban Jate Hain,
Shamma Jisko Jalati Hai Wo Parwane Ban Jate Hain,
Kuchh Haasil Karna Hi Pyar Ki Manzil Nahi Hoti,
Kisi Ko Khokar Bhi Kuchh Log Diwane Ban Jate Hain.