आँखों में समंदर हो फिर भी प्यास रहती हैं।
Isee Kashmkash Ka Naam Mohabbat Hai,
Aankho Mein Samandar Ho Fir Bhi Pyaas Rahti Hai.
खयालों में उसके मैंने बिता दी ज़िंदगी सारी,
इबादत कर नहीं पाया खुदा नाराज़ मत होना।
Khayalon Mein Uske Maine Bita Di Zindagi Saari,
Ibaadat Kar Nahi Paya Khuda Naraaj Mat Hona.
ख़ाक उड़ती है रात भर मुझमें,
कौन फिरता है दर-ब-दर मुझमें,
मुझ को मुझमें जगह नहीं मिलती,
कोई मौजूद है इस क़दर मुझमें।
Khak Udti Hai Raat Bhar Mujh Mein,
Kaun Phirta Hai Dar-Ba-Dar Mujh Mein,
Mujh Ko Mujh Mein Jagah Nahi Milti,
Koyi Maujood Hai Iss Kadar Mujh Mein.
तबियत भी ठीक थी, दिल भी बेक़रार न था,
ये उन दिनों बात है, जब किसी से प्यार न था।
Tabiyat Bhi Theek Thi, Dil Bhi Bekaraar Na Tha,
Ye Unn Dinon Ki Baat Hai, Jab Kisi Se Pyar Na Tha.
ये दरिया-ए-इश्क है कदम जरा सोच के रखना,
इस में उतर कर किसी को किनारा नहीं मिला।
Yeh Dariya-e-Ishq Hai Kadam Jara Soch Ke Rakhna,
Iss Mein Utar Kar Kisi Ko Kinaara Nahi Milaa.
दिल की महफ़िल में बुलाया है किसी ने,
खुद बुला कर फिर सताया है किसी ने,
जब तक जली शमां मचलता रहा परवाना,
क्या इस तरह साथ निभाया है किसी ने?
Dil Ki Mehfil Mein Bulaya Hai Kisi Ne,
Khud Bula Kar Fir Sataya Hai Kisi Ne,
Jab Tak Jali Shama Machalta Raha Parwana,
Kya Iss Tarah Saath Nibhaya Hai Kisi Ne?
इंतजार, इज़हार, इबादत सब तो किया मैंने,
और कैसे बताऊँ कि प्यार की गहराई क्या है?
Intezar, Izhaar, Ibaadat Sab To Kiya Maine,
Aur Kaise Bataaun Ke Pyar Ki Gehrayi Kya Hai?
बड़ी अजीब सी बंदिश है उसकी मोहब्बत में,
न वो खुद क़ैद कर सके न हम आज़ाद हो सके।
Badi Ajeeb Si Bandish Hai Uski Mohabbat Mein,
Na Wo Khud Qaid Kar Sake Na Hum Azaad Ho Sake.