इसका कोई चेहरा नहीं फिर भी वो हसीन हैं।
Pyar Ka Koyi Rang Nahi Fir Bhi Woh Rangeen Hai,
Iska Koyi Chehra Nahi Fir Bhi Woh Haseen Hai.
हम फिर उनके रूठ जाने पर फ़िदा होने लगे,
हमें फिर प्यार आ गया जब वो ख़फ़ा होने लगे।
Hum Unke Roothh Jaane Par Fida Hone Lage,
Humein Fir Pyaar Aa Gaya Jab Woh Khafa Hone Lage.
अरमान कोई सीने में आग लगा देता है,
एक ख्वाब आकर रातों को नींद उड़ा देता है,
पूछता हूँ जिस से भी मंजिल का पता मैं,
हर कोई रस्ता तेरे घर का बता देता है।
Armaan Koi Seene Mein Aag Laga Deta Hai,
Ek Khwab Aakar Raaton Ko Neend Uda Deta Hai,
Puchhta Hoon Jis Se Bhi Manzil Ka Pata Main,
Har Koi Rasta Tere Ghar Ka Bata Deta Hai.
उतर जाते है कुछ लोग दिल में इस कदर,
जिनको दिल से निकालो तो जान निकल जाती है।
Utar Jaate Hain Kuchh Log Dil Mein Iss Qadar,
JinKo Dil Se Nikaalo To Jaan Nikal Jaati Hai.
तुम मुझे एक मौका तो दो ऐतबार बनाने का,
थक जाओगे मेरी वफाओं के साथ चलते चलते।
Tum Mujhe Ek Mauka To Do Aitbaar Banaane Ka,
Thak Jaoge Meri Wafaon Ke Saath Chalte Chalte.
जो रहते हैं दिल में वो जुदा नहीं होते,
कुछ एहसास लफ़्ज़ों से बयां नहीं होते,
एक हसरत है कि उनको मनाये कभी,
एक वो हैं कि कभी खफा नहीं होते।
Jo Rehte Hai Dil Mein Wo Juda Nahi Hote,
Kuch Ehsaas Lafzon Me Bayan Nahi Hote,
Ek Hasrat Hai Unhe Manane Ki,
Wo Itne Achhe Hai Ki Kabhi Khafa Nahi Hote.
वो अच्छे हैं तो बेहतर,
बुरे हैं तो भी कबूल,
मिजाज़-ए-इश्क में ऐब-ओ-हुनर
देखे नहीं जाते।
Wo Achhe Hain To Behtar Hain
Bure Hain To Bhi Qabool,
Mijaaz-e-Ishq Mein Aib-o-Hunar
Dekhe Nahi Jate.