सच्ची मोहब्बत में,
जहाँ किरदार हल्का हो
कहानी डूब जाती है।
GalatFehmi Ki Gunjaish Nahi
Sachchi Mohabbat Mein,
Jahan Kirdaar Halka Ho
Kahani Doob Jati Hai.
शायद वो अपना वजूद
छोड़ गया है मेरी हस्ती में,
यूँ सोते-सोते जाग जाना
मेरी आदत पहले कभी न थी।
Shayad Wo Apna Wajood
Chhod Gaya Hai Meri Hasti Mein,
Yun Sote-Sote Jaag Jana
Meri Aadat Pehle Kabhi Na Thi.
इस लफ़्ज़े-मोहब्बत का इतना सा फसाना है,
सिमटे तो दिले-आशिक़ फैले तो ज़माना है,
ये इश्क़ नहीं आसाँ इतना तो समझ लीजे,
एक आग का दरिया है और डूब के जाना है।
Iss Lafze-Mohabbat Ka Itna Sa Fasaana Hai,
Simte To Dile-Aashiq Faile To Zamana Hai,
Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna To Samajh Leeje,
Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jaana Hai.
ना मैं ख्याल में तेरे ना मैं गुमान में हूँ,
यकीन दिल को नहीं है कि इस जहान में हूँ,
खुदाया रखियेगा दुनिया में सरफ़राज़ मुझे,
मैं पहले इश्क़ के पहले इम्तिहान में हूँ।
Na Main Khayal Mein Tere Na Main Gumaan Mein Hoon,
Yakeen Dil Ko Nahi Hai Ke Iss Jahaan Mein Hoon,
Khudaya Rakhiyega Duniya Mein Sarfaraz Mujhe,
Main Pehle Ishq Ke Pehle Imtehaan Mein Hoon.
वहां तक चले चलो जहाँ तक साथ मुमकिन है,
जहाँ हालात बदलेंगे वहां तुम भी बदल जाना।
Wahan Tak Chale Chalo Jahan Tak Saath Mumkin Hai,
Jahan Halaat Badlenge Wahan Tum Bhi Badal Jana.
खींच लेती है हर बार मुझे तेरी मोहब्बत,
वरना मैं बहुत बार मिला हूँ आखिरी बार तुझसे।
Kheench Leti Hai Har Baar Mujhe Teri Mohabbat,
Varna Main Bahut Baar Mila Hun Akhiri Baar Tujhse.
दूर रहकर भी जो समाया है,
मेरी रूह की गहराई में,
पास वालों पर वो शख्स,
कितना असर रखता होगा।
Door Rahkar Bhi Jo Samaya Hai,
Meri Rooh Ke Gehrayi Mein,
Paas Walon Par Woh Shakhs,
Kitna Asar Rakhta Hoga.
नफरतों के जहान में हमको
प्यार की बस्तियां बसानी हैं,
दूर रहना कोई कमाल नहीं,
पास आओ तो कोई बात बने।
Nafarato Ke Jahaan Mein Humko
Pyar Ki Bastiyan Basaani Hain,
Door Rehna Koyi Kamaal Nahi,
Paas Aao To Koyi Baat Bane.