मेरी हयात को तुम अपने असर में रहने दो,
मैं अपनी सोच को तेरी गली में छोड़ आया हूँ,
मेरे वजूद को ख़्वाबों के घर में रहने दो।
Nahi Jo Dil Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
Mere Wajood Ko Khwabon Ke Ghar Mein Rehne Do.
किताब-ए-दिल में भी रखा तो ताज़गी ना गई,
तेरे ख्याल का जलवा गुलाब जैसा है।
Kitaab-e-Dil Mein Bhi Rakha To Tazagi Na Gayi,
Tere Khayal Ka Jalwa Gulaab Jaisa Hai.
तेरे ख्याल में जब बेख्याल होता हूँ,
जरा सी देर को ही सही बेमिसाल होता हूँ।
Tere Khayal Mein Jab BeKhayal Hota Hoon,
Jara Si Der Ko Hi Sahi BeMisaal Hota Hoon.
तू हकीकत-ए-इश्क है या कोई फरेब,
ज़िन्दगी में आती नहीं ख़्वाबों से जाती नहीं।
Tu Haqeekat-e-Ishq Hai Ya Koi Fareb,
Zindgi Mein Aati Nahi Khwabon Se Jati Nahi.
तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है,
हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है,
मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना,
किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है।
Tumhara Zarf Hai Tum Ko Mohabbat Bhool Jati Hai,
Humein To Jisne Hans Kar Bhi Pukara Yaad Rehta Hai,
Mohabbat Mein Jo Dooba Ho Use Sahil Se Kya Lena,
Kise Iss Behar Mein Jakar Kinara Yaad Rehta Hai.
मोहब्बत एक खुशबू है हमेशा साथ रहती है,
कोई इंसान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता।
Mohabbat Ek Khushboo Hai Hamesha Saath Rahti Hai,
Koi Inssan Tanhai Mein Bhi Kabhi Tanha Nahi Rahta.
दिल में आहट सी हुई रूह में दस्तक गूँजी,
किस की खुशबू ये मुझे मेरे सिरहाने आई।
Dil Mein Aahat Si Hui Rooh Mein Dastak Goonji,
Kis Ki Khushboo Yeh Mujhe Mere SirHane Aayi.
मैं अल्फाज़ हूँ तेरी हर बात समझता हूँ,
मैं एहसास हूँ तेरे जज़्बात समझता हूँ,
कब पूछा मैंने कि क्यूँ दूर हो मुझसे,
मैं दिल रखता हूँ तेरे हालात समझता हूँ।
Main Alfaz Hun Teri Har Baat Samjhta Hoon,
Main Ehsaas Hun Tere Jazbat Samjhta Hoon,
Kab Puchha Maine Ke Kyun Dur Ho Mujhse,
Main Dil Rakhta Hoon Tere Halaat Samjhta Hoon.