तेरे ख्याल में जब बेख्याल होता हूँ,
जरा सी देर को ही सही बेमिसाल होता हूँ।
Tere Khayal Mein Jab BeKhayal Hota Hoon,
Jara Si Der Ko Hi Sahi BeMisaal Hota Hoon.
तू हकीकत-ए-इश्क है या कोई फरेब,
ज़िन्दगी में आती नहीं ख़्वाबों से जाती नहीं।
Tu Haqeekat-e-Ishq Hai Ya Koi Fareb,
Zindgi Mein Aati Nahi Khwabon Se Jati Nahi.
तेरा ज़िक्र तेरी फ़िक्र तेरा एहसास तेरा ख्याल,
तू खुदा तो नहीं फिर हर जगह क्यों है।
Tera Zikr Teri Fikr Tera Ehsaas Tera Khayal,
Tu Khuda To Nahi Phir Har Jagah Kyun Hai.
रोज वो ख़्वाब में आते हैं गले मिलने को,
मैं जो सोता हूँ तो जाग उठती है किस्मत मेरी।
Roj Wo Khwab Mein Aate Hain Gale Milne Ko,
Main Jo Sota Hun To Jaag UthhTi Hai Kismat Meri.
Shayari Mohabbat Mein Jo Dooba Ho
Khwabon Ke Ghar Mein Shayari