Kamyabi Shayari, Manzilein Mile Na Mile

Advertisement

मंजिलें मिले न मिले, ये तो मुकद्दर की बात है,
हम कोशिश ही न करे ये तो गलत बात है।
Manzilein Mile Na Mile To Mukaddar Ki Baat Hai,
Hum Koshish Bhi Na Karein Ye To Galat Baat Hai.

ज़िन्दगी जब ज़ख्म पर दे ज़ख्म तो हँसकर हमें,
आजमाइश की हदों को आजमाना चाहिए।
Zindagi Jab Zakhm Par De Zakhm To HansKar Humein,
Aajmaish Ki Hadon Ko Aajmana Chahiye.

Advertisement

अभी मुठ्ठी नहीं खोली है मैंने आसमां सुन ले,
तेरा बस वक़्त आया है मेरा तो दौर आएगा।
Abhi Mutthi Nahi Kholi Hai Maine Aasmaan Sun Le,
Tera Bas Waqt Aaya Hai Mera To Daur Aayega.

हुकूमत बाजुओं के ज़ोर पर तो कोई भी कर ले,
जो सबके दिल पे छा जाए उसे इंसान कहते हैं।
Hukoomat Baajuon Ke Zor Par To Koyi Bhi Kar Le,
Jo Sabke Dil Pe Chha Jaaye Use Insaan Kahte Hain.

हम भी दरिया हैं हमें अपना हुनर मालूम है,
जिस तरफ़ भी चल पड़ेगे रास्ता हो जाएगा।
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jayega.

Advertisement

Inspiration Shayari, Kadmo Mein Jahan

Muskurane Ki Aadat Honi Chahiye

Advertisement

Read more Motivational Shayari in Hindi