एक तेरा चेहरा देख हम अपना ग़म भुलाते है।
Tu Naraaj Na Raha Kar Tujhe Wasta Hai Khuda Ka,
Ek Tera Chehra Dekh Hum Apna Gham Bhulaate Hain.
खुश्क आँखों से भी अश्कों की महक आती है,
मैं तेरे ग़म को ज़माने से छुपाऊं कैसे।
Khushk Aankhon Se Bhi Ashqon Ki Mahek Aati Hai,
Main Tere Gham Ko Zamane Se Chhupaaun Kaise.
मुझे भीख की खुशियाँ पसंद नहीं,
मैं जीता हूँ अपने ग़मों के राज में।
Mujhe Bheekh Ki Khushiyan Pasand Nahin,
Main Jeeta Hoon Apne Ghamo Ke Raaj Mein.
याद-ए-ग़म दिल से कभी जाती नहीं,
अब तो भूले से भी हँसी आती नहीं।
Yaad-e-Gham Dil Se Kabhi Jaati Nahi,
Ab To Bhoole Se Bhi Hansi Aati Nahi.
मुलाकात तो हुई थी उनसे एक रोज मगर,
हम उनको हाल-ए-दिल अपना सुनाते कैसे,
हमारी तकदीर में ही लिखे थे ग़म,
जख्म अपने हम उनको दिखाकर रुलाते कैसे।
Mulakat To Huyi Thi Unse Ek Roj Magar,
Hum Unko Haal-e-Dil Apna Sunate Kaise,
Humari Takdeer Mein Hi Likhe The Gham,
Zakhm Apne Hum Unko Dikhakar Rulate Kaise.
हर ग़म ने हर सितम ने नया हौसला दिया,
मुझको मिटाने वाले ने मुझको बना दिया।
Har Gham Ne Har Sitam Ne Naya Hausla Diya,
Mujhko Mitaane Wale Ne Mujhko Bana Diya.
ऐ ज़ब्त-ए-इश्क़ और ना ले इम्तिहान-ए-ग़म,
मैं रो रहा हूँ नाम किसी का लिये बगैर।
Ai Zabt-e-Ishq Aur Na Le Imtehaan-e-Gham,
Main Ro Raha Hoon Naam Kisi Ka Liye Baghair.
मेरे ग़मख्वार मेरे दोस्त तुझे क्या मालूम,
जिन्दगी मौत के मानिन्द गुजारी मैंने।
Mere Ghamkhwar Mere Dost Tujhe Kya Maloom,
Zindagi Maut Ke Manind Gujaari Maine.
जब भी करीब आता हूँ बताने के लिए,
जिंदगी दूर कर देती है सताने के लिए,
महफ़िलों की शान न समझना मुझे,
मैं अक्सर हँसता हूँ ग़म छुपाने के लिए।
Jab Bhi Kareeb Aata Hoon Bataane Ke Liye,
Zindagi Door Kar Deti Hai Sataane Ke Liye,
Mehfilon Ki Shaan Na Samjhna MujhKo,
Main Aksar Hansta Hoon Gham Chhupane Ke Liye,