अब मुझसे तेरे ग़म की हिफाजत नहीं होती।
Log Parh Lete Hain Aankho Se Dil Ki Baat,
Ab Mujhse Tere Gham Ki Hifazat Nahi Hoti.
ये मायूस सफर और ये ग़मगीन शाम,
मैं रुक तो जाऊं मगर कोई रोकता नहीं।
Ye Mayoos Safar Aur Ye Ghamgeen Shaam,
Main Ruk To Jaaun Magar Koi Rokta Nahi.
जिसे गुजरे दिन के ग़म से नहीं फुर्सत,
उसको नए साल की मुबारकबाद क्या देना।
Jise Gujre Din Ke Gham Se Nahi Fursat,
Usko Naye Saal Ki Mubaraqbaad Kya Dena.
शायद खुशी का दौर भी आ जाए एक दिन,
ग़म भी तो मिल गये थे तमन्ना किये बगैर।
Shayad Khushi Ka Daur Bhi Aa Jaye Ek Din,
Gham Bhi To Mil Gaye The Tamanna Kiye Bagair.
ग़म ये नहीं कि कसम अपनी भुलाई तुमने,
ग़म तो ये है कि रकीबों से निभाई तुमने,
कोई रंजिश थी अगर तुमको तो मुझसे कहते,
बात आपस की थी क्यूँ सब को बताई तुमने।
Gham Ye Nahi Ki Kasam Apni Bhulaai Tumne,
Gham To Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhaai Tumne,
Koi Ranjish Thi Agar TumKo To MujhSe Kehte,
Baat Aapas Ki Thi Kyun Sab Ko Bataai Tumne.
तुझे पाने की कोशिश में कुछ इतना खो चुका हूँ,
तू मिल भी अगर जाये तो अब मिलने का ग़म होगा।
Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuchh Itna Kho Chuka Hoon,
Tu Mil Bhi Agar Jaaye To Ab Milne Ka Gham Hoga.
बदल जाते है ज़िन्दगी के मायने उस वक़्त,
जब कोई तुम्हारा, तुम्हारे सामने, तुम्हारा नहीं होता।
Badal Jaate Hain Zindagi Ke Mayane Uss Waqt,
Jab Koi Tumhara, Tumhare Samne, Tumhara Nahi Hota.
सुन कर तमाम रात मेरी दस्ताने-ग़म,
वो मुस्कुरा के बोली बहुत बोलते हो तुम।
Sun Kar Tamaam Raat Meri Daastaan-e-Gham,
Wo Muskura Ke Bole Bahut Bolte Ho Tum.
अब तू ही कोई मेरे ग़म का इलाज कर दे,
तेरा ग़म है तेरे कहने से चला जायेगा।
Ab Tu Hi Koi Mere Gham Ka ilaaj Kar De,
Tera Gham Hai Tere Kehne Se Chala Jayega.