Gham Shayari in Hindi

Advertisement

Tere Gham Ne Mujhe Jeene Na Diya

कुछ मोहब्बत को न था चैन से रखना मंजूर,
और कुछ उन की इनायत ने जीने न दिया,
हादसा है कि तेरे सर पर इल्ज़ाम आया,
वाकया है कि तेरे ग़म ने मुझे जीने न दिया।

Kuchh Mohabbat Ko Na Tha Chain Se Rakhna Manzoor,
Aur Kuchh Unn Ki Inaayat Ne Jeene Na Diya,
Haadsa Hai Ke Tere Sar Par ilzaam Aaya,
Wakya Hai Ki Tere Gham Ne Mujhe Jeene Na Diya.

Advertisement

Kis Baat Ka Gham Hai

अगर वो पूछ लें हमसे
कहो किस बात का ग़म है,
तो फिर किस बात का ग़म है
अगर वो पूछ लें हमसे।

Agar Wo Puchh Lein Humse
Kaho Kis Baat Ka Gham Hai,
To Fir Kis Baat Ka Gham Hai
Agar Wo Poochh Lein Humse.

Advertisement

Gham Ki Tashreeh Bahut Mushkil Thi

ग़म की तशरीह बहुत मुश्किल थी,
तो अपनी तस्वीर दिखा दी मैंने।
Gham Ki Tashreeh Bahut Mushkil Thi,
To Apni Tasvir Dikhaa Di Humne.

रंजो-ग़म इश्क के गुजर भी गए,
अब तो वो दिल से उतर भी गए।
Ranj-o-Gham Ishq Ke Gujar Bhi Gaye,
Ab To Wo Dil Se Utar Bhi Gaye.

Advertisement

Shayari Gham-e-Ishq Ka Fasaana

Gham-e-Ishq Ka Fasaana Shayari

रहा यूँ ही नामुकम्मल ग़म-ए-इश्क का फसाना,
कभी मुझको नींद आई कभी सो गया ज़माना।
Raha Yoon Hi Na-Mukammal Gham-e-Ishq Ka Fasaana,
Kabhi Mujhko Neend Aayi Kabhi So Gaya Zamana.

हमने सोचा कि दो चार दिन की बात होगी लेकिन,
तेरे ग़म से तो उम्र भर का रिश्ता निकल आया।
Humne Socha Ki Do Char Din Ki Baat Hogi Lekin,
Tere Gham Se To Umr Bhar Ka Rishta Nikal Aaya.

Advertisement

To Kyun Gham Karoon

सोच सोचकर उम्र क्यूँ कम करूँ,
वो नहीं मिला तो करूँ ग़म करूँ,
न हुआ न सही दीदार उनका,
किसलिए भला आँखें नम करूँ।

Soch-Soch Kar Umr Kyun Kam Karoon,
Wo Nahi Mila To Kyun Gham Karoon,
Na Hua Na Sahi Deedar Unka,
KisLiye Bhala Aankhein Nam Karoon.