Sun Kar Meri Daastaan-e-Gham

Advertisement

सुन कर तमाम रात मेरी दस्ताने-ग़म,
वो मुस्कुरा के बोली बहुत बोलते हो तुम।
Sun Kar Tamaam Raat Meri Daastaan-e-Gham,
Wo Muskura Ke Bole Bahut Bolte Ho Tum.

अब तू ही कोई मेरे ग़म का इलाज कर दे,
तेरा ग़म है तेरे कहने से चला जायेगा।
Ab Tu Hi Koi Mere Gham Ka ilaaj Kar De,
Tera Gham Hai Tere Kehne Se Chala Jayega.

Advertisement

सुकून न दे सकीं राहतें ज़माने भर की,
जो नींद आई तेरे ग़म की छाँव में आई।
Sukoon Na De Sakin Rahatein Zamane Bhar Ki,
Jo Neend Aayi Tere Gham Ki Chhaon Mein Aayi.

ग़म-ए-इश्क का मारा हूँ मुझे न छेड़ो,
जुबां खुलेगी तो लफ़्ज़ों से लहू टपकेगा।
Gham-e-Ishq Ka Maara Hun Mujhe Na Chhedo,
Zubaan Khulegi To Lafzon Se Lahoo Tapkega.

Advertisement

Tere Gham Ne Mujhe Jeene Na Diya

Ab Milne Ka Gham Hoga

Advertisement

You may also like