हमारी चीज थी हमने जहाँ जानी वहाँ रख दी,
जो दिल माँगा तो वो बोले ठहरो याद करने दो,
जरा सी चीज़ थी हमने न जाने कहाँ रख दी।
Kisi Ka Kya Jo Kadmo Par Jabin-e-Bandagi Rakh Di,
Humari Cheez Thi Humne Jahan Jaani Wahan Rakh Di,
Jo Dil Maanga To Wo Bole Thhehro Yaad Karne Do,
Jara Si Cheej Thi Hum Ne Na Jaane Kahan Rakh Di.
शहर-ए-एहसास में पथराव बहुत हैं मोहसिन,
दिल को शीशे के झरोखों में सजाया न करो।
Shahar-e-Ehsaas Mein Pathrav Bahut Hain Mohsin,
Dil Ko Sheeshe Ke Jharokhon Mein Sajaya Na Karo.
आप पहलू में जो बैठें तो संभल कर बैठें,
दिल-ए-बेताब को आदत है मचल जाने की।
Aap Pehloo Mein Jo Baithhe To Sambhal Kar Baithein,
Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki.
बुत भी रखे हैं नमाजें भी अदा होती हैं
दिल मेरा दिल नहीं अल्लाह का घर लगता है।
But Bhi Rakhe Hain Namaazein Bhi Adaa Hoti Hain,
Dil Mera Dil Nahi Allah Ka Ghar Lagta Hai.
मुमकिन अगर हो सके तो वापस कर दो,
बिना दिल के अब हमारा दिल नहीं लगता।
Mumkin Agar Ho Sake To Waapas Kar Do,
Bina Dil Ke Ab Humara Dil Nahi Lagta.
अब जिस तरफ से चाहे गुजर जाए कारवाँ,
वीरानियाँ तो सब मेरे दिल में उतर गईं।
Ab Jis Taraf Se Chahe Gujar Jaye Kaarwan,
Veeraniyan To Sab Mere Dil Mein Utar Gayin.
अच्छी सूरत पे गजब टूट के आना दिल का,
याद आता है हमें हाय ज़माना दिल का,
इन हसीनों का लड़कपन ही रहे या अल्लाह,
होश आता है तो याद आता है सताना दिल का।
Achhi Soorat Pe Ghajab Toot Ke Aana Dil Ka,
Yaad Aata Hai Humein Hay Zamana Dil Ka,
Inn Haseeno Ka Ladakpan Hi Rahe Ya Allah,
Hosh Aata Hai To Yaad Aata Hai Sataana Dil Ka.
खेलना अच्छा नहीं किसी के नाज़ुक दिल से,
तुम जान जाओगे जब कोई खेलेगा तुम्हारे दिल से।
Khelna Achha Nahi Kisi Ke Najuk Dil Se,
Tum Jaan Jaaoge Koi Khelega Tumhare Dil Se.
कुछ ठोकरों के बाद नजाकत आ गई मुझ में,
अब दिल के मशवरों पे मैं भरोसा नहीं करता।
Kuchh Thhokaro Ke Baad Nazakat Aa Gayi Mujhme,
Ab Dil Ke Mashwaro Pe Main Bharosa Nahi Karta.