Dil Shayari

Advertisement

Kissa Bahut Kaha Dil Ka

हमने किस्सा बहुत कहा दिल का,
न सुना तुमने माजरा दिल का।
Humne Kissa Bahut Kaha Dil Ka,
Na Suna Tumne Maajra Dil Ka.

हादसे कुछ दिल पे ऐसे हो गये,
हम समंदर से भी गहरे हो गये।
Haadse Kuchh Dil Pe Aise Ho Gaye,
Hum Samndar Se Bhi Gehre Ho Gaye.

Advertisement

Chhote Se Dil Mein Heart Shayari

इस छोटे से दिल में किस किस को जगह दूँ मैं,
ग़म रहे, दम रहे, फरियाद रहे या तेरी याद।
Iss Chhote Se Dil Mein Kis-Kis Ko Jagah Doon,
Gham Rahe, Dum Rahe, Fariyad Rahe Ya Teri Yaad.

सौ बार कहा दिल से चल भुल भी जा उसको।
हर बार कहा दिल ने तुम दिल से नही कहते।
Sau Baar Kaha Dil Se Chal Bhool Bhi Ja Usko,
Har Baar Kaha Dil Ne Tum Dil Se Nahi Kehte.

Advertisement

Shayari Haal-e-Dil Suna Deta Hoon

कमी मुझ में तो बस इतनी सी है मेरे दोस्तों,
हाल-ए-दिल अपना सभी को सुना देता हूँ,
मालूम है मुझको कि कोई साथ नहीं देता,
फिर भी दिल से सबको अपना बना लेता हूँ।

Kami Mujh Mein To Bas Itni Si Hai Mere Dosto,
Haal-e-Dil Apna Sabhi Ko Suna Deta Hoon Main,
Maloom Hai Mujhko Ki Koyi Saath Nahi Deta,
Fir Bhi Dil Se SabKo Apna Bana Leta Hoon Main.

Advertisement

Mere Dil Ki Pareshani

Mere Dil Ki Pareshani Shayari

देख लेते जो मेरे दिल की परेशानी को,
आप बैठे हुए ज़ुल्फ़ें न सँवारा करते।
Dekh Lete Jo Mere Dil Ki Pareshani Ko,
Aap Baithhe Huye Zulfein Na Sanwara Karte.

सोचता हूँ कि तेरे दिल में उतर के देखूँ,
कौन बसा है जो मुझे बसने नहीं देता।
Sochta Hoon Ke Tere Dil Mein Utar Ke Dekhun,
Kaun Basaa Hai Jo Mujhe Basne Nahi Deta.

Advertisement

Dil Na Jane Kya Kar Baitha

अनजाने में ये दिल न जाने क्या कर बैठा,
मुझसे बिना पूछे ही फैसला कर बैठा,
इस ज़मीन पर टूटा सितारा भी नहीं गिरता,
और ये पागल चाँद से मोहब्बत कर बैठा।

Anjaane Mein Ye Dil Na Jane Kya Kar Baitha,
Mujhse Bina Poochhe Hi Faisla Kar Baitha,
Iss Zamin Par Toota Hua Sitara Bhi Nahi Girta,
Aur Ye Pagal Chaand Se Mohabbat Kar Baitha.