दिल शायरी (Dil Shayari)

Advertisement

Koyi Dil Se Ho Mera

मुझे रिश्तों की लम्बी कतारों से क्या मतलब?
कोई दिल से हो मेरा तो एक शख्स ही काफी है।
Mujhe Rishton Ki Lambi Kataaro Se Kya Matlab?
Koyi Dil Se Ho Mera To Ek Shakhs Hi Kaafi Hai.

मुझे जिस दम खयाले-नर्गिसे-मस्ताना आता है,
बड़ी मुश्किल से काबू में दिले-दीवाना आता है।
Jis Dum Khayal-e-Nargis-e-Mastana Aata Hai,
Badi Mushkil Se Kaboo Mein Dil-e-Diwana Aata Hai.

Advertisement

Toofan Dil-e-Bekarar Mein

आँसू नहीं हैं आँख में लेकिन तेरे बगैर,
तूफान छुपे हुए हैं दिले-बेकरार में।
Aansoo Nahi Hain Aankh Mein Lekin Tere Bagair,
Toofan Chhupe Huye Hain Dil-e-Bekarar Mein.

Toofan Dil-e-Beqarar Mein

दिल चुराकर आप तो बैठे हुए हैं चैन से,
ढूढ़ने वाले से पूछे कोई क्या जाता रहा।
Dil Churakar Aap To Baithhe Huye Hain Chain Se,
Dhoodhne Wale Se Poochhe Koi Kya Jata Raha.

ये कह के दिल ने मेरे हौसले बढ़ाए हैं
ग़मों की धूप के आगे ख़ुशी के साए हैं।
Yeh Keh Ke Mere Dil Ne Mere Hausle Barhaye Hain,
Ghamon Ki Dhoop Ke Aage Khushi Ke Saaye Hain.

Advertisement

ये दिल उसका है अपना होता तो

उसके सिवा किसी और को चाहना मेरे बस में नहीं है,
ये दिल उसका है अपना होता तो और बात होती।
Uske Siwa Kisi Aur Ko Chahna Mere Bas Mein Nahi Hai,
Ye Dil Uska Hai Apna Hota To Aur Baat Hoti.

Ye Dil Uska Hai Apna Hota To

जिस्म उसका भी मिट्टी का है मेरी तरह ऐ खुदा,
फिर भी मेरा दिल ही क्यूँ तड़पता है उसके लिए।
Jism Uska Bhi Mitti Ka Hai Meri Tarah Ai Khuda,
Fir Bhi Mera Dil Hi Kyun Tadapta Hai Uske Liye.

Advertisement

Dil To Aksar Bhar Jate Hain

अगर ताल्लुक हो तो रूह से रूह का हो,
दिल तो अक्सर एक दूसरे से भर जाते हैं।
Agar Talluq Ho To Rooh Se Rooh Ka Ho,
Dil To Aksar Ek Doosre Se Bhar Jate Hain.

मुझ को मज़ा है छेड़ का दिल मानता नहीं,
गाली सुने बगैर सितमगर कहे बगैर।
Mujhko Mazaa Hai Chhed Ka Dil Maanta Nahi,
Gaali Sune Bagair SitamGar Kahe Bagair.

Advertisement

Dil Kabhi Unse Roothha Hi Nahi

एक हसरत थी कि कभी वो भी हमें मनाये,
पर ये कम्ब्खत दिल कभी उनसे रूठा ही नहीं।
Ek Hasrat Thi Ke Kabhi Wo Bhi Humein Manaaye,
Par Ye Kambakht Dil Kabhi Unse Roothha Hi Nahi.

Dil Unse Roothha Hi Nahi

काम अब कोई न आएगा बस इक दिल के सिवा,
रास्ते बंद हैं सब कूचा-ए-क़ातिल के सिवा।
Kaam Ab Koyi Na Aayega Bas Ik Dil Ke Siwa,
Raaste Band Hain Sab Kucha-e-Qatil Ke Siwa.