Dard Bhari Shayari | दर्द भरी शायरी

Advertisement

Batayenge Dil Ka Dard

हमने सोचा था कि बताएंगे दिल का दर्द तुमको,
पर तुमने तो इतना भी न पूछा कि खामोश क्यों हो।
Humne Socha Tha Ke Batayenge Dil Ka Dard Tumko,
Par Tumne Itna Bhi Na Poochha Ke Khamosh Kyun Ho.

Hindi Dard Shayari - Batayenge Dard-e-Dil

वो लफ्ज कहाँ से लाऊं जो तुझको मोम कर दें,
मेरा वजूद पिघल रहा है तेरी बेरूखी से।
Woh Lafz Kahan Se Laauon Jo Tujhko Mom Kar Dein,
Mera Wajood Pighal Raha Hai Teri Berukhi Se.

Advertisement

Shayari Dard, Mujhko Aisa Dard Mila

मुझको ऐसा दर्द मिला जिसकी दवा नहीं,
फिर भी खुश हूँ मुझे उससे कोई गिला नहीं,
और कितने आँसू बहाऊँ मैं उसके लिए,
जिसको खुदा ने मेरे नसीब में लिखा नहीं।

Mujhko Aisa Dard Mila Jiski Davaa Nahi,
Fir Bhi Khush Hoon Mujhe Uss Se Koyi Gila Nahi,
Aur Kitne Aansu Bahaun Main Uss Ke Liye,
Jisko Khuda Ne Mere Naseeb Mein Likha Nahi.

Advertisement

Dard Baatne Ki Aadat

आदत बदल सी गई है वक़्त काटने की,
हिम्मत ही नहीं होती अपना दर्द बांटने की।
Aadat Badal Si Gayi Hai Waqt Kaatne Ki,
Himmat Hi Nahi Hoti Apna Dard Baatne Ki.

Dard Bhari Shayari - Dard Baatne Ki Aadat

हमदर्दियाँ भी मुझे काटने लगती हैं अब,
यूँ मुझसे मेरा मिजाज़ ना पूछा करे कोई।
Humdardiyan Bhi Mujhe Katne Lagti Hain Ab,
Yoon Mujhse Mera Mijaz Na Puchha Kare Koi.

Advertisement

Wo Kya Samjhe Dard

Wo Kya Samjhein Mera Dard Shayari

कैसे बयान करें आलम दिल की बेबसी का,
वो क्या समझे दर्द आँखों की इस नमी का,
उनके चाहने वाले इतने हो गए हैं अब,
उन्हें कोई एहसास ही नहीं हमारी कमी का।

Kaise Bayaan Karein Aalam Dil Ki Bebasi Ka,
Wo Kya Samjhe Dard Aankhon Ki Iss Nami Ka,
Unke Chhahne Wale Itne Ho Gaye Hai Ab,
Unhein Koi Ehsaas Hi Nahi Humari Kami Ka.

Advertisement

Dard Bhari Shayari, Dard Sahne Ka Lutf

मेरी फितरत ही कुछ ऐसी है कि,
दर्द सहने का लुत्फ़ उठाता हूँ मैं।
Meri Fitrat Hi Kuchh Aisi Hai Ke,
Dard Sahne Ka Lutf Uthhata Hoon Main.

दिल के ज़ख्मों को हवा लगती है,
साँस लेना भी यहाँ आसान नहीं है।
Dil Ke Zakhmo Ko Hawa Lagti Hai,
Saans Lena Bhi Yahan Aasaan Nahi Hai.