उस बेवफा को भूल ना जाएं तो क्या करें।
Kaam Aa Saki Na Apni Wafayein To Kya Karein,
Uss Bewafa Ko Bhool Na Jaayein To Kya Karein.
तेरी बेवफाई ने हमारा ये हाल कर दिया है,
हम नहीं रोते लोग हमें देख कर रोते हैं।
Teri Bewafai Ne Humara Ye Haal Kar Diya Hai,
Hum Nahi Rote Log Humein Dekhkar Rote Hain.
कभी ग़म तो कभी तन्हाई मार गयी,
कभी याद आकर उनकी जुदाई मार गयी,
बहुत टूट कर चाहा जिसको हमने,
आखिर में उनकी ही बेवफाई मार गयी।
Kabhi Gham To Kabhi Tanhai Maar Gayi,
Kabhi Yaad Aakar Unki Judai Maar Gayi,
Bahut Toot Kar Chaha Jisko Humne,
Aakhir Mein Unki Hi Bewafai Maar Gayi.
रोये कुछ इस तरह से मेरे जिस्म से लग के वो,
ऐसा लगा कि जैसे कभी बेवफा न थे वो।
Roye Kuchh Iss Tarah Se Mere Jism Se Lag Ke Wo,
Aisa Laga Ke Jaise Kabhi Bewafa Na The Wo,
बेवफा वक़्त था? तुम थे? या मुकद्दर था मेरा?
बात इतनी ही है कि अंजाम जुदाई निकला।
Bewafa Waqt Tha? Tum The? Ya Muqaddar Tha Mera?
Baat Itni Hi Hai Ki Anjaam Judaai Nikla.
मजबूरी में जब कोई जुदा होता है,
जरूरी नहीं कि वो बेवफा होता है,
देकर वो आपकी आँखों में आँसू,
अकेले में आपसे ज्यादा रोता है।
Majboori Mein Jab Koi Juda Hota Hai,
Jaroori Nahi Ki Wo Bewafa Hota Hai,
De Kar Wo Aapki Aankhon Mein Aansoo,
Akele Mein Aapse Bhi Jyada Rota Hai.
दिल भी गुस्ताख हो चला था बहुत,
शुक्र है कि यार ही बेवफा निकला।
Dil Bhi Gustaakh Ho Chala Tha Bahut,
Shukr Hai Ki Yaar Hi Bewafa Nikla.
न कोई मज़बूरी है न तो लाचारी है,
बेवफाई उसकी पैदायशी बीमारी है।
Na Koi Majburi Hai Na To Lachari Hai,
Bewafai Uski Paidayshi Beemari Hai.
अगले बरसों की तरह होंगे करीने तेरे,
किसे मालूम नहीं बारह महीने तेरे।
Agle Barson Ki Tarah Honge Qarine Tere
Kise Malum Nahi Barah Maheene Tere.