Loneliness Shayari, Tanhai Ke Lamhon Mein
हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद ना कर दे,
तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर।
Har Waqt Ka Hansna Tujhe Barbaad Na Kar De,
Tanhai Ke Lamhon Mein Kabhi Ro Bhi Liya Kar.
तन्हाईयाँ कुछ इस तरह से डसने लगी मुझे,
मैं आज अपने पैरों की आहट से डर गया।
Tanhayian Kuchh Iss Tarah Se Dasne Lagi Mujhe,
Main Aaj Apne Pairon Ki Aahat Se Darr Gaya.
रास्ता मुझको दिखाया और ओझल हो गए,
आप के रहमो-करम का शुक्रिया कैसे करूँ।
Raasta Mujhko Dikhaya Aur Ojhal Ho Gaye,
Aap Ke Rahmo-Karam Ka Shukriya Kaise Karoon.
कैसे दिन आये कि तेरा ज़िक्र फ़साना हुआ है,
ऐसे लगता है तुझे देखे ज़माना हुआ है।
Kaise Din Aaye Ki Tera Zikr Fasaana Hua Hai,
Aise Lagta Hai Tujhe Dekhe Zamana Hua Hai.
बंद मुट्ठी से याद गिरती है रेत की मानिंद,
वो चला गया ज़िन्दगी से ज़र्रा-ज़र्रा कर के।
Band Muththhi Se Yaad Girti Hai Ret Ki Manind,
Wo Chala Gaya Zindagi Se Zarra-Zarra Karke.