बिछड़ी हुई राहों से जो गुजरे हम कभी,
हर मोड़ पर खोई हुई एक याद मिली है।
Bichhdi Hui Raahon Se Jo Gujre Hum Kabhi,
Har Mod Par Khoyi Hui Ek Yaad Mili Hai.
ना कर जिद अपनी हद में रह ए दिल,
वो बड़े लोग है मर्जी से याद करते है।
Na Kar Zidd Apni Hadd Mein Reh Ai Dil,
Wo Bade Log Hain Marzi Se Yaad Karte Hain.
मत सोच कि मैं तुझे भुला नहीं सकता,
तेरी यादों के पन्ने मैं जला नहीं सकता,
कश्मकश ये है कि खुद को मारना होगा,
और अपने खातिर तुझे रुला नहीं सकता।
Mat Soch Ki Main Tujhe Bhula Nahi Sakta,
Teri Yaadon Ke Panne Main Jala Nahi Sakta,
Kashmkash Ye Hai Ki Khud Ko Maarna Hoga,
Aur Apne Khatir Tujhe Rula Nahi Sakta.
Missing You...
कुछ धड़कता तो है सीने में मेरे रह-रह कर,
अब खुदा जाने तेरी याद है या दिल मेरा।
Kuchh Dhadkta To Hai Seene Mein Rah-Rah Kar,
Ab Khuda Jaane Teri Yaad Hai Ya Dil Mera.
खौफ से लेते नहीं नाम कि सुन न ले कोई,
चुपके-चुपके हम तुम्हें याद किया करते हैं।
Khauf Se Lete Nahin Naam Ke Sun Na Le Koi,
Chupke-Chupke Hum Tumhein Yaad Kiya Karte Hain.
तपिश से बच कर घटाओं में बैठ जाते हैं,
गए हुए की सदाओं में बैठ जाते हैं,
हम इर्द-गिर्द के मौसम से जब भी घबराये,
तेरे ख्याल की छाँव में बैठ जाते हैं।
Tapish Se Bach Ke Ghataaon Mein Baithh Jate Hain,
Gaye Huye Ki Sadaaon Mein Baithh Jate Hain,
Hum Ird-Gird Ke Mausam Se Jab Bhi Ghabraye,
Tere Khayal Ki Chhaaon Mein Baithh Jate Hain.