Haadse Pehchan Mita Dete Hain
घर से निकलो तो पता जेब में रख कर निकलो,
हादसे इंसान की पहचान तक मिटा देते है।
Ghar Se Niklo To Pata Jeb Mein Rakh Kar Niklo,
Haadse Insaan Ki Pehchan Tak Mita Dete Hain.
बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फासला रखना,
जहाँ दरिया समन्दर में मिले दरिया नहीं रहता।
Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faasla Rakhna,
Jahan Daria Samandar Mein Mile Dariya Nahi Rehta.
खोने की दहशत और पाने की चाहत न होती,
तो ना ख़ुदा होता कोई और न इबादत होती।
Khone Ke Dehshat Aur Paane Ki Chahat Na Hoti,
To Na Khuda Hota Koi Aur Na Ibaadat Hoti.
जिसको खुश रहने के सामन मयस्सर हों सब,
उसको खुश रहना भी आये ये जरूरी तो नहीं।
JisKo Khush Rehne Ke Samaan Mayassar Hon Sab,
Usko Khush Rehna Bhi Aaye Ye Jaroori To Nahi.