आँख भर देखें जिसे उलझन में डाल देते हैं।
Hum Haseen Hone Ka Daawa To Nahi Karte Magar,
Aankh Bhar Dekhein Jise Uljhan Mein Daal Dete Hain.
कुछ मौसम रंगीन है कुछ आप हसीन हैं,
तारीफ करूँ या चुप रहूँ जुर्म दोनो संगीन हैं।
Kuchh Mausam Rangeen Hai Kuchh Aap Haseen Hain,
Tareef Karun Ya Chup Rahun Jurm Dono Sangeen Hain.
अदा आई, जफा आई, गुरूर आया, इताब आया,
हजारों आफतें लेकर हसीनों का शबाब आया।
Adaa Aayi, Jafa Aayi, Garur Aaya, Itaab Aaya,
Hajaron Aafatein Lekar Haseeno Ka Shabaab Aaya.
मेरी निगाह-ए-शौक़ भी कुछ कम नहीं मगर,
फिर भी तेरा शबाब, तेरा ही शबाब है।
Meri Nigah-e-Shauq Bhi Kuchh Kam Nahi Magar,
Fir Bhi Tera Shabab, Tera Hi Shabaab Hai.
गुजर गए हैं बहुत दिन रफ़ाक़त-ए-शब में,
इक उम्र हो गयी चेहरा वो चाँद सा देखे,
तेरे सिवा भी कई रंग खुश नज़र थे मगर,
जो तुझ को देख चुका हो वो और क्या देखे।
Gujar Gaye Hain Bahut Din Rafakat-e-Shab Mein,
Ik Umr Ho Gayi Chehra Wo Chaand Sa Dekhe,
Tere Siwa Bhi Kayi Rang KhushNajar The Magar,
Jo Tujh Ko Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe.
क्यों चाँदनी रातों में दरिया पे नहाते हो,
सोये हुए पानी में क्या आग लगानी है?
Kyun Chaandni Raaton Mein Dariya Pe Nahate Ho,
Soye Huye Paani Mein Kya Aag Lagaani Hai?
इस डर से कभी गौर से देखा नहीं तुझको,
कहते हैं लग जाती है अपनों की नजर भी।
Iss Darr Se Kabhi Ghaur Se Dekha Nahi Tujhko,
Kehte Hain Lag Jaati Hai Apnon Ki Najar Bhi.
जल्वे मचल पड़े तो सहर का गुमाँ हुआ,
ज़ुल्फ़ें बिखर गईं तो सियाह रात हो गई।
Jalwe Machal Pade To Sahar Ka Gumaan Hua,
Zulfein Bikhar Gayin To Syaah Raat Ho Gayi.
अंदाज़ अपना देखते हैं आईने में वो,
जुल्फें संवार कर कभी जुल्फें बिगाड़ कर।
Andaaz Apna Dekhte Hain Aayine Mein Wo,
Zulfein Sanwar Kar Kabhi Zulfein Bigaad Kar.