Beauty Shayari, Ek To Husn Balaa

Advertisement

एक तो हुस्न बला उस पे बनावट आफत,
घर बिगाड़ेंगे हजारों के संवरने वाले।
Ek To Husn Balaa Uss Pe Banaawat Aafat,
Ghar Bigaadenge Hajaron Ke Sanwarne Wale.

Shayari on Beauty - Balaa Ka Husn

उस हुस्न-ए-बेमिसाल को देखा न आज तक,
जिस के तसुव्वरात ने जीना सिखा दिया।
Uss Husn-e-BeMisaal Ko Dekha Na Aaj Tak,
Jis Ke Tasawwuraat Ne Jeena Sikha Diya.

Advertisement

ऐसा ना हो तुझको भी दीवाना बना डाले,
तन्हाई में खुद अपनी तस्वीर न देखा कर।
Aisa Na Ho TujhKo Bhi Deewana Bana Daale,
Tanhai Mein Khud Apni Tasvir Na Dekha Kar.

तेरी तारीफ में कुछ लफ्ज़ कम पड़ गए,
वरना हम भी किसी ग़ालिब से कम नहीं।
Teri Tareef Mein Kuchh Lafz Kam Pad Gaye,
Varna Hum Bhi Kisi Ghalib Se Kam Nahi.

इस सादगी पे कौन न मर जाए ऐ ख़ुदा,
लड़ते हैं और हाथ में तलवार भी नहीं।
Iss Saadgi Pe Kaun Na Mar Jaye Ai Khuda,
Ladte Hain Aur Haath Mein Talwar Bhi Nahi.

Advertisement

Main Deewana Hua

Bada Hi Dilkash Andaaz

Advertisement

Read more Beauty Shayari in Hindi