Shayari on Beauty

Advertisement

Adaa Mein Masti Beauty Shayari

चाल मस्त, नजर मस्त, अदा में मस्ती,
जब वह आते हैं लूटे हुए मैखाने को।
Chaal Mast, Najar Mast, Adaa Mein Masti,
Jab Wo Aate Hain Loote Huye Maikhane Ko.

ये कह सितमगर ने ज़ुल्फ़ों को झटका,
बहुत दिन से दुनिया परेशाँ नहीं है।
Ye Keh SitamGar Ne Zulfon Ko Jhatka,
Bahut Din Se Duniya Pareshan Nahi Hai.

Advertisement

Parda Shayari in Hindi

हमारा क़त्ल करने की उनकी साजिश तो देखो,
गुजरे जब करीब से तो चेहरे से पर्दा हटा लिया।
Humara Qatl Karne Ki Unki Saajish To Dekho,
Gujre Jab Kareeb Se To Chehre Se Parda Hata Diya.

Beauty Shayari Parda Shayari in Hindi

पर्दा-ए-लुत्फ़ में ये ज़ुल्म-ओ-सितम क्या कहिए,
हाय ज़ालिम तेरा अंदाज़-ए-करम क्या कहिए।
Parda-e-Lutf Mein Ye Zulm-o-Sitam Kya Kahiye,
Haye Zalim Tera Andaaz-e-Karam Kya Kahiye.

Advertisement

Naqaab Shayari in Hindi

जलवों की साजिशों को न रखो हिजाब में,
ये बिजलियाँ हैं रुक न सकेंगीं नक़ाब में।
Jalwon Ki Saajishon Ko Na Rakho Hijaab Mein,
Ye Bijliyan Hain Ruk Na Sakengi Naqaab Mein.

Beauty Shayari Hijaab Naqaab Shayari

बड़ी आरज़ू थी मोहब्बत को बेनकाब देखने की,
दुपट्टा जो सरका तो जुल्फें दीवार बन गयीं।
Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko BeNaqaab Dekhne Ki,
Dupatta Jo Sarka To Zulfein Deewar Ban Gayin.

Advertisement

Chaand Shayari in Hindi

चाँद सा जब कहा तो वो गिला करने लगे,
बोले... चाँद कहिये न, चाँद सा क्या है।
Chaand Sa Jab Kaha To Wo Gila Karne Lage,
Bole... Chaand Kahiye Na, Chaand Saa Kya Hai.

रुके तो चाँद, चले तो हवाओं जैसा है,
वो शख्स धूप में भी छाँव जैसा है।
Ruke To Chaand, Chale To Hawaaon Jaisa Hai,
Wo Shakhs Dhoop Mein Bhi Chhaaon Jaisa Hai.

Advertisement

Bholi Sooraton Wale

मेरी तस्बीह के दाने हैं
भोली सूरतों वाले,
निगाहों में फिराता हूँ
इबादत होती जाती है।
Meri Tasbeeh Ke Daane Hain
Bholi Sooraton Wale,
Nigaahon Mein Firata Hoon
Ibaadat Hoti Jaati Hai.