Naqaab Shayari in Hindi

Advertisement

जलवों की साजिशों को न रखो हिजाब में,
ये बिजलियाँ हैं रुक न सकेंगीं नक़ाब में।
Jalwon Ki Saajishon Ko Na Rakho Hijaab Mein,
Ye Bijliyan Hain Ruk Na Sakengi Naqaab Mein.

Beauty Shayari Hijaab Naqaab Shayari

बड़ी आरज़ू थी मोहब्बत को बेनकाब देखने की,
दुपट्टा जो सरका तो जुल्फें दीवार बन गयीं।
Badi Aarzoo Thi Mohabbat Ko BeNaqaab Dekhne Ki,
Dupatta Jo Sarka To Zulfein Deewar Ban Gayin.

मुझको ये आरज़ू वो उठाएं नकाब खुद,
उन को ये इंतज़ार तकाजा करे कोई।
Mujhko Ye Aarzoo Wo Uthhayein Naqaab Khud,
Unko Ye Intezaar Taqaaza Kare Koi.

Advertisement

खुद न छुपा सके वो अपना चेहरा नक़ाब में,
बेवज़ह हमारी आँखों पे इल्ज़ाम लग गया।
Khud Na Chhupa Sake Wo Apna Chehra Nakaab Mein,
Bewajah Humari Aankhon Pe ilzaam Lag Gaya.

Naqaab Shayari in Hindi

उनके खूबसूरत चेहरे से नकाब क्या उतरा,
जमाने भर की नीयत बेनकाब हो गई।
Unke KhoobSoorat Chehre Se Naqaab Kya Utra,
Zamane Bhar Ki Neeyat Kharab Ho Gayi.

नक़ाब क्या छुपाएगा शबाब-ए-हुस्न को,
निगाह-ए-इश्क तो पत्थर भी चीर देती है।
Naqaab Kya Chhupayega Shabab-e-Husn Ko,
Nigaah-e-Ishq To Patthar Bhi Cheer Deti Hai.

वो बे-नकाब जो फिरती है गली-कूंचों में,
तो कैसे शहर के लोगों में क़त्ल-ए-आम न हो।
Wo Be-naqaab Phirti Hai Gali-Kucho Mein,
To Kaise Shahar Ke Logon Mein Qatl-e-Aam Na Ho.

Advertisement

Chaand Shayari in Hindi

Parda Shayari in Hindi

Advertisement

Read more Beauty Shayari in Hindi