राहत इंदौरी की शायरी

Advertisement

Best Shayari of Rahat Indori

रोज़ तारों को नुमाइश में खलल पड़ता है,
चाँद पागल है अँधेरे में निकल पड़ता है,
रोज़ पत्थर की हिमायत में ग़ज़ल लिखते हैं,
रोज़ शीशों से कोई काम निकल पड़ता है।
Roz Taaron Ki Numaaish Mein Khalal Padta Hai,
Chaand Pagal Hai Andhere Mein Nikal Padta Hai,
Roz Patthar Ki Himayat Mein Ghazal Likhte Hain,
Roz Sheeshon Se Koi Kaam Nikal Padta Hai.

वो चाहता था कि कासा खरीद ले मेरा,
मैं उसके ताज की क़ीमत लगा के लौट आया।
Wo Chahta Tha Ki Kaasa Khareed Le Mera,
Main Uske Taaj Ki Qeemat Laga Ke Laut Aaya.

ये हादसा तो किसी दिन गुजरने वाला था,
मैं बच भी जाता तो एक रोज मरने वाला था,
मेरा नसीब, मेरे हाथ कट गए वरना,
मैं तेरी माँग में सिन्दूर भरने वाला था।
Ye Haadsa To Kisi Din Gujarne Wala Tha,
Main Bach Bhi Jata To Ek Roz Marne Wala Tha,
Mera Naseeb, Mere Haath Kat Gaye Varna,
Main Teri Maang Mein Sindoor Bharne Wala Tha.

हाथ खाली हैं तेरे शहर से जाते-जाते,
जान होती तो मेरी जान लुटाते जाते,
अब तो हर हाथ का पत्थर हमें पहचानता है,
उम्र गुजरी है तेरे शहर में आते जाते।
Haath Khali Hain Tere Shahar Se Jate-Jate,
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutaate Jate,
Ab To Har Haath Ka Patthar Humein Pehchanta Hai,
Umr Gujri Hai Tere Shahar Mein Aate-Jate.

Shayari Bahut Guroor Hai Dariya Ko

Advertisement

बहुत गुरूर है दरिया को अपने होने पर,
जो मेरी प्यास से उलझे तो धज्जियाँ उड़ जाएँ।
Bahut Guroor Hai Dariya Ko Apne Hone Par,
Jo Meri Pyaas Se Uljhe To Dhajjiyan Ud Jayein.

आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो,
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो।
Aankhon Mein Pani Rakho Honthho Pe Chingari Rakho,
Zinda Rahna Hai To Tarkeebein Bahut Saari Rakho,

उसे अब के वफ़ाओं से गुजर जाने की जल्दी थी,
मगर इस बार मुझको अपने घर जाने की जल्दी थी,
मैं आखिर कौन सा मौसम तुम्हारे नाम कर देता,
यहाँ हर एक मौसम को गुजर जाने की जल्दी थी।
Use Ab Ke Wafaon Se Gujar Jaane Ki Jaldi Thi,
Magar Iss Baar Mujhko Apne Ghar Jaane Ki Jaldi Thi,
Main Aakhir Kaun Sa Mausam Tumhare Naam Kar Deta,
Yehan Har Ek Mausam Ko Gujar Jaane Ki Jaldi Thi.

अंदर का ज़हर चूम लिया धुल के आ गए,
कितने शरीफ़ लोग थे सब खुल के आ गए।
Andar Ka Zeher Choom Liya Dhul Ke Aa Gaye,
Kitne Shareef Log The Sab Khul Ke Aa Gaye.

Chehron Ke Liye Aaine Qurbaan

चेहरों के लिए आईने कुर्बान किये हैं,
इस शौक में अपने बड़े नुकसान किये हैं,​
महफ़िल में मुझे गालियाँ देकर है बहुत खुश​,
जिस शख्स पर मैंने बड़े एहसान किये है।
Chehron Ke Liye Aaine Qurbaan Kiye Hain,
Iss Shauk Mein Apne Bade Nuksaan Kiye Hain,
Mehfil Mein Mujhe Gaaliyan Dekar Hai Bahut Khush,
Jis Shakhs Par Maine Bade Ehsaan Kiye Hain.

मैंने अपनी खुश्क आँखों से लहू छलका दिया,
इक समंदर कह रहा था मुझको पानी चाहिए।
Maine Apni Khushk Aankhon Se Lahoo Chhalka Diya,
Ik Samandar Keh Raha Tha Mujhko Paani Chahiye.

Advertisement

अब्दुल हमीद अदम की शायरी

तहज़ीब हाफ़ी के चुनिंदा शेर

Advertisement

You may also like