Allama Iqbal Shayari Collection

Advertisement

मंज़िल-ए-ग़म से गुजरना तो है आसाँ 'इक़बाल',
इश्क़ है नाम खुद अपने से गुजर जाने का।
Manzil-e-Gham Se Gujarna To Hai Aasaan Iqbal,
Ishq Hai Naam Khud Apne Se Gujarne Ka.

Allama Iqbal Shayari Collection

जब से चमन छूटा है ये हाल हो गया है,
दिल ग़म को कह रहा ग़म दिल को कह रहा।
Jab Se Chaman Chhuta Hai Ye Haal Ho Gaya Hai,
Dil Gham Ko Keh Raha Gham Dil Ko Keh Raha.

जफा जो इश्क़ में होती है वह जफा ही नहीं,
सितम न हो तो मोहब्बत में कुछ मजा ही नहीं।
Jafa Jo Ishq Mein Hoti Hai Woh Jafa Hi Nahi,
Sitam Na Ho To Mohabbat Mein Kuchh Maza Hi Nahi.

क़ैद ए मौसम से तबीयत रही आज़ाद उसकी,
काश गुलशन में समझता कोई फ़रियाद उसकी।
Qaid-e-Mausam Se Tabiyat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Fariyaad Uski.

हजारों साल नर्गिस अपनी बेनूरी पे रोती है,
बड़ी मुश्किल से होता है चमन में दीदावर पैदा।
Hajaro Saal Nargis Apni BeNoori Pe Roti Hai.
Badi Mushkil Se Hota Hai Chaman Mein Deedavar Paida.

Best Poetry of Allama Iqbal

ज़मीर जाग ही जाता है अगर ज़िन्दा हो इक़बाल,
कभी गुनाह से पहले तो कभी गुनाह के बाद।
Zamir Jag Hi Jaata Hai Agar Zinda Ho Iqbal,
Kabhi Gunaah Se Pehle To Kabhi Gunaah Ke Baad.

अच्छा है दिल के साथ रहे पासबान-ए-अक़्ल
लेकिन कभी-कभी इसे तन्हा भी छोड़ दे।
Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paaswaan-e-Aqal,
Lekin Kabhi Kabhi Ise Tanha Bhi Chhod De.

Advertisement

मिटा दे अपनी हस्ती को अगर कुछ मर्तबा चाहे,
कि दाना ख़ाक में मिलकर गुल-ओ-गुलज़ार बनता है।
Mita De Apni Hasti Ko Agar Kuchh Martaba Chaahe,
Ki Daana Khak Mein Milkar Gul-o-Gulzar Banta Hai.

दुनिया की महफ़िलों से उकता गया हूँ या रब,
क्या लुत्फ़ अंजुमन का जब दिल ही बुझ गया हो।
Duniya Ki Mehfilo Se Ukta Gaya Hoon Ya Rab,
Kya Lutf Anjuman Ka Jab Dil Hi Bujh Gaya Ho.

अभी कमसिन हैं जिदें भी हैं निराली उनकी,
इस पे मचले हैं हम दर्द-ए-जिगर देखेंगे।
Abhi Kamsin Hain Zidein Bhi Hain Nirali Unki,
Iss Pe Machle Hain Hum Dard-e-Jigar Dekhenge.

फ़क़त निगाह से होता है फ़ैसला दिल का,
न हो निगाह में शोख़ी तो दिलबरी क्या है?
Faqat Nigaah Se Hota Hai Faisla Dil Ka,
Na Ho Nigaah Mein Shokhi To Dilbari Kya Hai?

इश्क़ तेरी इन्तेहाँ... इश्क़ मेरी इन्तेहाँ,
तू भी अभी नातमाम मैं भी अभी नातमाम।
Ishq Teri Intehaan... Ishq Meri Intehaan,
Tu Bhi Abhi NaTamaam Main Bhi Abhi NaTamaam.

Allama Iqbal Shayari in Hindi Urdu

इस दौर की ज़ुल्मत में हर कल्बे परेशाँ को,
वो दाग-ए-मोहब्बत दे जो चाँद को शरमा दे।
Iss Daur Ki Zulmat Mein Har Qalbe Preshaan Ko,
Wo Daag-e-Mohabbat De Jo Chaand Ko Sharma De.

लब पे आती है दुआ बन के तमन्ना मेरी,
ज़िन्दगी शम्मा की सूरत हो खुदाया मेरी।
Lab Pe Aati Hai Duaa Ban Ke Tamanna Meri,
Zindagi Shama Ki Soorat Ho Khudaaya Meri.

मोहब्बत की तमन्ना है तो फिर वो वस्फ़ पैदा कर,
जहाँ से इश्क चलता है वहाँ तक नाम पैदा कर।
Mohabbat Ki Tamanna Hai To Fir Wo Wasf Paida Kar,
Jahan Se Ishq Chalta Hai Wahan Tak Naam Paida Kar.

Advertisement

Daagh Dehlvi Shayari Collection

Mirza Ghalib Shayari Collection

Advertisement

Read more Shayari Collection in Hindi