Saaki Ki Mast Aankhein

Advertisement

असर न पूछिए साकी की मस्त आँखों का,
ये देखिये कि कोई होशमंद बाकी है?
Asar Na Poochhiye Saaki Ki Mast Aankho Ka,
Ye Dekhiye Ki Koyi Hoshmand Baaki Hai?

निगाहे-मस्त से मुझको पिलाये जा साकी,
हसीं निगाह भी जामे-शराब होती है।
Nigaah-e-Mast Se Mujhko Pilaye Ja Saaqi,
Haseen Nigaah Bhi Jaam-e-Sharab Hoti Hai.

Advertisement

तेरी निगाह ने क्या कह दिया खुदा जाने,
उलट कर रख दिये बादाकाशों ने पैमाने।
Teri Nigaah Ne Kya Keh Diya Khuda Jane,
Ulat Kar Rakh Diye Badahkashon Ne Paimane.

साकी की निगाहों में तो मुलजिम न बनूंगा,
टूटेंगे तो टूटें मेरे तौबा के इरादे।
Saqi Ki Nigaahon Mein To Mulzim Na Banuga,
Tootenge To Toote Mere Tauba Ke Iraade.

Advertisement

Raat Hum Piye Huye The

Sharab Shayari, Ye Saqi Ne Sagar Mein

Advertisement

Read more Sharab Shayari in Hindi