ShayariLovers

Advertisement

Shayad Ehsaas-e-Tanhai Na Ho

एहतियातन देखता चल अपने साए की तरफ,
इस तरह शायद तुझे एहसास-ए-तन्हाई न हो।
Aihtiyatan Dekhta Chal Apne Saaye Ki Taraf,
Iss Tarah Shayad Tujhe Ehsaas-e-Tanhai Na Ho.

देख कर चेहरा पलट देते हैं अब वो आइना,
मौसम-ए-फुरकत उन्हें सूरत कोई भाती नहीं।
Dekh Kar Chehra Palat Dete Hain Ab Wo Aayina,
Mausam-e-Furqat Unhein Soorat Koi Bhaati Nahi.

Kahin Par Dard Hota Hai

समझ में कुछ नहीं आता
मोहब्बत किस को कहते हैं,
मगर इतना समझता हूँ,
कि कहीं पर दर्द उठता है।
Samajh Mein Kuchh Nahi Aata,
Mohabbat Kis Ko Kehte Hain,
Magar Itna Samajhta Hoon,
Ke Kahin Par Dard UthTa Hai.

Gujra Hoon Hadsaat Se

गुजरा हूँ हादसात से लेकिन वही हूँ मैं,
तुम ने तो एक बात पे रस्ते बदल लिए।
Gujra Hoon Hadsaat Se Lekin Wahi Hoon Main,
Tum Ne To Ek Baat Pe Raste Badal Liye.

मेरे मुक़द्दर को भी गिला रहा है मुझसे,
कि किसी और का होता तो संवर गया होता।
Mere Muqaddar Ko Bhi Gila Raha Hai MujhSe,
Ke Kisi Aur Ka Hota To Sanwar Gaya Hota.

Tumhi Ko Yaad Aana Hai

नया कुछ भी नहीं हमदम
वही आलम पुराना है,
तुम्हें भुलाने की कोशिश है
तुम्हीं को याद आना है।
Naya Kuchh Bhi Nahi HumDum
Wahi Aalam Purana Hai,
Tumhein Bhulane Ki Koshish Hai
Tumhi Ko Yaad Aana Hai.
Missing You.

Tumhi Ko Yaad Aana Hai

Marham Ka Takalluf Na Karo

दिए हैं ज़ख्म तो मरहम का तकल्लुफ न करो,
कुछ तो रहने दो मेरी जात पे एहसान अपना।
Diye Hain Zakhm To Marham Ka Takalluf Na Karo,
Kuchh To Rehne Do Meri Jaat Pe Ehsaan Apna.

Diye Hain Zakhm

मोहब्बत की मिसाल में बस इतना ही कहूँगा।
बेमिसाल सज़ा है किसी बेगुनाह के लिए।
Mohabbat Ki Misaal Mein, Bas Itna Hi Kahunga,
BeMisaal Sazaa Hai Kisi Be-Gunaah Ke Liye.

12345Next ›