वो आये न आये मगर इंतज़ार करते हैं,
झूठा ही सही पर मेरे यार का वादा है,
हम सच मान कर ऐतबार करते हैं।
Jeene Ki Khwahish Mein Hum Roj Marte Hain,
Wo Aaye Na Aaye Magar Intezaar Karte Hain,
Jhoothha Hi Sahi Par Mere Yaar Ka Vaada Hai,
Hum Sach Maankar Aitbaar Karte Hain.
किश्तों में खुदकुशी कर रही है ये जिन्दगी,
इंतज़ार तेरा मुझे पूरा मरने भी नहीं देता।
Kishton Mein Khudkushi Kar Rahi Hai Ye Zindagi,
Intezaar Tera Mujhe Poora Marne Bhi Nahi Deta.
वो कह कर गया था कि लौटकर आएगा,
मैं इंतजार ना करता तो और क्या करता,
वो झूठ भी बोल रहा था बड़े सलीके से,
मैं एतबार ना करता तो और क्या करता।
Woh Keh Kar Gaya Tha Ke Lautkar Aayega,
Main Intezaar Na Karta To Aur Kya Karta,
Wo Jhoothh Bhi Bol Raha Tha Bade Saleeke Se,
Main Aitbaar Na Karta To Aur Kya Karta.
कुछ रोज़ ये भी रंग रहा तेरे इंतज़ार का,
आँख उठ गई जिधर बस उधर देखते रहे।
Kuchh Roj Yeh Bhi Rang Raha Tere Intezaar Ka,
Aankh Uthh Gayi Jidhar Bas Udhar Dekhte Rahe.
उनकी उदास आँखों में करार देखा है,
पहली बार उन्हें ऐसे बेकरार देखा है,
जिन्हें खबर ना होती थी मेरे आने की,
उनकी आँखों में अब इंतज़ार देखा है।
Unki Aankhon Mein Karaar Dekha Hai,
Pehli Baar Unhein Aise BeKaraar Dekha Hai,
Jinhein Khabar Na Hoti Thi Mere Aane Ki,
Unki Aankho Mein Ab Intezaar Dekha Hai.