Laut Ke Kab Aate Hain
बस यूँ ही उम्मीद दिलाते हैं ज़माने वाले,
लौट के कब आते हैं छोड़ कर जाने वाले।
Bas Yoon Hi Umeed Dilate Hain Zamane Wale,
Laut Ke Kab Aate Hain Chhod Kar Jaane Wale.
हालात कह रहे हैं मुलाकात नहीं मुमकिन,
उम्मीद कह रही है थोड़ा इंतज़ार कर।
Haalaat Keh Rahe Hain Mulakaat Nahi Mumkin,
Ummeed Keh Rahi Hai Thhoda Intezaar Kar.
आँखें रहेंगीं शाम-ओ-सहर मुन्तज़िर तेरी,
आँखों को सौंप देंगे तेरा इंतज़ार हम।
Aankhein Rahengi Shaam-o-Sahar Muntazir Teri,
Aankhon Ko Saunp Denge Tera Intezaar Hum.
दिल जलाओ या दिए आँखों के दरवाज़े पर,
वक़्त से पहले तो आते नहीं आने वाले।
Dil Jalao Ya Diye Aankhon Ke Darwaze Par,
Waqt Se Pehle To Aate Nahi Aane Wale.
आधी से ज्यादा शबे-ग़म काट चुका हूँ,
अब भी अगर आ जाओ तो ये रात बड़ी है।
Aadhi Se Jyada Shabe-Gham Kaat Chuka Hoon,
Ab Bhi Agar Aa Jao To Ye Raat Badi Hai.
न कोई वादा न कोई यक़ीं न कोई उम्मीद,
मगर हमें तो तेरा इंतज़ार करना था।
Na Koi Vaada Na Koi Yakeen Na Koi Umeed,
Magar Humein To Tera Intezaar Karna Tha.
तमाम रात मेरे घर का एक दर खुला रहा,
मैं राह देखता रहा वो रस्ता बदल गया।
Tamaam Raat Mere Ghar Ka Ek Dar Khula Raha,
Main Raah Dekhta Raha Wo Rasta Badal Gaya.