Intezaar Shayari | इंतज़ार शायरी

Advertisement

Wo Mera Intezaar Kare

एक आरज़ू है पूरी अगर परवरदिगार करे,
मैं देर से जाऊं और वो मेरा इंतज़ार करे।
Ek Aarzoo Hai Poori Agar Parvardigar Kare,
Main Der Se Jaaun Aur Wo Mera Intezaar Kare.

उठ-उठ के किसी का इंतज़ार करके देखना,
कभी तुम भी किसी से प्यार करके देखना।
Uthh-Uthh Ke Kisi Ka Intezaar Karke Dekhna,
Kabhi Tum Bhi Kisi Se Pyar Karke Dekhna.

Advertisement

Shayari on Wait, Apna Hi Intezaar Kiya

आदतन तुमने कर दिये वादे,
आदतन हमने भी ऐतबार किया,
तेरी राहों में हर बार रुककर,
हमने अपना ही इंतजार किया।

Aadatan Tumne Kar Diye Vaade,
Aadatan Humne Bhi Aitbaar Kiya,
Teri Rahon Mein Har Baar Ruk Kar,
Humne Apna Hi Intezaar Kiya.

Advertisement

Intezaar Shayari, Aayenge Kab Wo ?

Aayenge Kab Wo Intezaar Shayari in Hindi

कुछ बातें करके वो हमें रुला के चले गए,
हम न भूलेंगे यह एहसास दिला के चले गए,
आयेंगे कब वो अब तो यह देखना है उम्र भर,
बुझ रही है आग जिसे वो जला कर चले गए।
Kuchh Baatein Karke Wo Humein Rula Ke Chale Gaye,
Hum Na Bhulenge Ye Ehsaas Dila Ke Chale Gaye,
Aayenge Kab Wo Ab To Ye Dekhna Hai Umr Bhar,
Bujh Rahi Hai Aag Jise Wo Jalaa Kar Chale Gaye.

Advertisement

Aankh Mein Intezaar Dikhe

कभी तो चौंक के देखे कोई हमारी तरफ़,
किसी की आँख में हमको भी इंतज़ार दिखे।
Kabhi To Chaunk Ke Dekhe Koi Humari Taraf,
Kisi Ki Aankh Mein Humko Bhi Intezaar Dikhe.

किसी रोज़ होगी रोशन मेरी भी ज़िंदगी,
इंतज़ार सुबह का नहीं तेरे लौट आने का है।
Kisi Roz Hogi Roshan Meri Bhi Zindagi,
Intzaar Subah Ka Nahi Tere Laut Aane Ka Hai.

Advertisement

Iss Ko Kahete Hain Intezaar

ये जो पत्थर है आदमी था कभी,
इस को कहते हैं इंतज़ार मियां।
Ye Jo Patthar Hai Aadmi Tha Kabhi,
Iss Ko Kehte Hain Intezaar Miyaan.

रात क्या होती है हमसे पूछिए,
आप तो सोये सवेरा हो गया।
Raat Kya Hoti Hai Hum Se Poochhiye,
Aap To Soye Savera Ho Gaya.

हर आहट पर साँसें लेने लगता है,
इंतज़ार भी भला कभी मरता है।
Har Aahat Par Saanse Lene Lagta Hai,
Intezaar Bhi Bhala Kabhi Marta Hai.