Intezaar Shayari | इंतज़ार शायरी

Advertisement

Laut Ke Kab Aate Hain

बस यूँ ही उम्मीद दिलाते हैं ज़माने वाले,
लौट के कब आते हैं छोड़ कर जाने वाले।
Bas Yoon Hi Umeed Dilate Hain Zamane Wale,
Laut Ke Kab Aate Hain Chhod Kar Jaane Wale.

Laut Ke Kab Aate Hain Intezaar Shayari

हालात कह रहे हैं मुलाकात नहीं मुमकिन,
उम्मीद कह रही है थोड़ा इंतज़ार कर।
Haalaat Keh Rahe Hain Mulakaat Nahi Mumkin,
Ummeed Keh Rahi Hai Thhoda Intezaar Kar.

Advertisement

Kisi Ka Intezaar Kya Karte

आप करीब ही न आये इज़हार क्या करते,
हम खुद बने निशाना तो शिकार क्या करते,
साँसे साथ छोड़ गयीं पर खुली रखी आँखें,
इस से ज्यादा किसी का इंतज़ार क्या करते।

Aap Kareeb Hi Na Aaye Izhaar Kya Karte,
Hum Khud Bane Nishana To Shikaar Kya Karte,
Saanse Saath Chhod Gayi Par Khuli Rakhi Aankhein,
Iss Se Jyada Kisi Ka Intezaar Kya Karte.

Advertisement

Der Se Intezaar Hai Apna

बेखुदी ले गई कहाँ हमको,
देर से इंतज़ार है अपना,
रोते फिरते हैं सारी-सारी रात,
अब यही बस रोज़गार है अपना।

BeKhudi Le Gayi Kahan Humko,
Der Se Intezaar Hai Apna,
Rote Firte Hain Saari-Saari Raat,
Ab Yahi Bas Rozgaar Hai Apna.

Advertisement

Shayari Intezaar Hai Saath Sahara Bankar

कोई मिलता ही नहीं हमसे हमारा बनकर,
वो मिले भी तो एक किनारा बनकर,
हर ख्वाब टूट के बिखरा काँच की तरह,
बस एक इंतज़ार है साथ सहारा बनकर।

Koyi Milta Nahi Hum Se Humara Bankar,
Wo Mile Bhi To Ek Kinara Bankar,
Har Khwaab Toot Ke Bikhra Kaanch Ki Tarah,
Bas Ek Intezaar Hai Saath Sahara Bankar.

Tera Intezaar Shayari in Hindi

Advertisement

Aankho Mein Intezaar Wahi Hai

टूट गया दिल पर अरमान वही है,
दूर रहते हैं फिर भी प्यार वही है,
जानते हैं कि मिल नहीं पायेंगे,
फिर भी आँखों में इंतज़ार वही है।

Toot Gaya Dil Par Armaan Wahi Hai,
Door Rehte Hain Fir Bhi Pyar Wahi Hai,
Jaante Hain Ke Mil Nahi Payenge,
Fir Bhi Aankho Mein Intezaar Wahi Hai.