Intezaar Shayari | इंतज़ार शायरी

Advertisement

Shayari Intezaar Ki Ghadiyan

इक मैं कि इंतज़ार में घड़ियाँ गिना करूँ,
इक तुम कि मुझसे आँख चुराकर चले गये।
Ek Main Ki Intezaar Mein Ghadiyan Gina Karoon,
Ek Tum Ki Mujhse Aankh Churakar Chale Gaye.

Intezaar Baaki Rakh Shayari

उसे भुला दे मगर इंतज़ार बाकी रख,
हिसाब साफ न कर कुछ हिसाब बाकी रख।
Usey Bhula De Magar Intezar Baaki Rakh,
Hisaab Saaf Na Kar Kuchh Hisaab Baaki Rakh.

Advertisement

Intezaar Ka De Kar Hunar

आँखों को इंतज़ार का दे कर हुनर चला गया,
चाहा था एक शख़्स को जाने किधर चला गया,
दिन की वो महफिलें गईं रातों के रतजगे गए,
कोई समेट कर मेरे शाम-ओ-सहर चला गया।

Aankhon Ko Intezaar Ka De Kar Hunar Chala Gaya,
Chaha Tha Ek Shakhs Ko Jaane Kidhar Chala Gaya,
Din Ki Wo Mehfilein Gayin Raaton Ke RatJage Gaye,
Koi Samet Kar Mere Shaam-o-Sahar Chala Gaya.

Advertisement

Mera PardaNashin Kahan

आँखों ने जर्रे-जर्रे पर सजदे लुटाये हैं,
न जाने जा छुपा मेरा पर्दानशीं कहाँ।
Aankho Ne Jarre-Jarre Par Sazde Lutaye Hain,
Na Jaane Ja Chhupa Hai Mera PardaNashin Kahan.

पलकों पर रूका है समन्दर खुमार का,
कितना अजब नशा है तेरे इंतजार का।
Palkon Par Ruka Hai Samandar Khumaar Ka,
Kitna Ajab Nasha Hai Tere Intezaar Ka.

Shayari Tere Intezaar Ka Nasha

Advertisement

Chehra Wo Chaand Sa Dekhe

उसी तरह से हर एक ज़ख्म खुशनुमा देखे,
वो आये तो मुझे अब भी हरा-भरा देखे,
गुजर गए हैं बहुत दिन रफाकत-ए-शब में,
एक उम्र हो गई चेहरा वो चाँद-सा देखे।

Usee Tarah Se Har Ik Zakhm Khushnuma Dekhe,
Wo Aaye To Mujhe Ab Bhi Hara Bhara Dekhe,
Gujar Gaye Hain Bahut Din Rafaqat-e-Shab Mein,
Is Umr Ho Gayi Chehra Wo Chaand Sa Dekhe.

Advertisement

Har Pal Tera Intezaar Shayari

मुझे हर पल तेरा इंतज़ार रहता है,
हर लम्हा मुझे तेरा एहसास रहता है,
तुझ बिन धडकनें रुक सी जाती हैं,
कि तू दिल में धड़कन बनके रहता है।

Mujhe Har Pal Tera Intezaar Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain,
Ki Tu Dil Mein Dhadkan Banke Rehta Hai.