Samandar Nahi Sookha Karte

Advertisement

Best Motivational Shayari in Hindi

यही सोच कर हर तपिश में जलता आया हूँ,
धूप कितनी भी तेज हो समंदर नहीं सूखा करते।
Yahi Soch Kar Har Tapish Mein Jalta Aaya Hoon,
Dhoop Kitni Bhi Tej Ho Samandar Nahi Sookha Karte.

लकीरें अपने हाथों की बनाना हमको आता है,
वो कोई और होंगे अपनी किस्मत पे जो रोते हैं।
Lakeerein Apne Haathon Ki Banana Humko Aata Hai,
Wo Koi Aur Honge Apni Kismat Pe Jo Rote Hain.

हवाओं को पता था मैं जरा मजबूत टहनी हूँ,
यही सच आँधियों ने अब हवाओं को बताया है।
Hawaaon Ko Pata Tha Main Jara Majboot Taheni Hoon,
Yahi Sach Aandhiyon Ne Ab Hawaaon Ko Bataya Hai.

Advertisement

सफ़र में मुश्किलें आयें तो जुर्रत और बढ़ती है,
कोई जब रास्ता रोके तो हिम्मत और बढ़ती है।
Safar Mein Mushkile Aayein To Jurrat Aur Barhti Hai,
Koi Jab Rasta Roke To Himmat Aur Barhti Hai.

पंखों को खोल कि ज़माना सिर्फ उड़ान देखता है,
यूँ जमीन पर बैठकर आसमान क्या देखता है।
Pankho Ko Khol Ki Zamana Sirf Udaan Dekhta Hai,
Yoon Zamin Par Baithhkar Aasmaan Kya Dekhta Hai.

इत्र से कपड़ों को महकाना कोई बड़ी बात नहीं हे,
मज़ा तो तब है जब आपके किरदार से खुशबू आये।
Itr Se Kapdon Ko Mahkana Koi Badi Baat Nahi,
Mazaa To Tab Jab Aapke Kirdaar Se Khushboo Aaye.

Advertisement

Inspirational Poetry, Ki Misaal Ban Jaye

Hausle Hakeem Se Kam Nahi

Advertisement

Read more Motivational Shayari in Hindi