Hothhon Pe Hansi Paanv Mein Chhale

Advertisement

जिन के होठों पे हँसी पाँव में छाले होंगे,
वही लोग अपनी मंज़िल को पाने वाले होंगे।
JinKe Hothhon Pe Hansi Paanv Mein Chhale Honge,
Wahi Log Apni Manzil Ko Paane Wale Honge.

मेरे हाथों की लकीरों के इज़ाफ़े हैं गवाह,
मैंने पत्थर की तरह खुद को तराशा है बहुत।
Mere Haathon Ki Lakeeron Ke Izaafe Hain Gawaah,
Maine Patthar Ki Tarah Khud Ko Tarasha Hai Bahut.

Advertisement

कल यही ख्वाब हकीकत में बदल जायेंगे,
आज जो ख्वाब फकत ख्वाब नजर आते हैं।
Kal Yehi Khwaab Hakiqat Mein Badal Jayenge,
Aaj Jo Khwaab Faqat Khwaab Najar Aate Hain.

कहने को लफ्ज दो हैं उम्मीद और हरसत,
लेकिन निहां इसी में दुनिया की दास्तां है।
Kehne Ko Lafz Do Hain Ummeed Aur Harsat,
Lekin Nihaan Isee Mein Duniya Ki Daastan Hai.

चलो चाँद का किरदार अपना लें दोस्तों,
दाग अपने पास रखें और रोशनी बाँट दे।
Chalo Chaand Ka Kirdar Apna Lein Dosto,
Daag Apne Paas Rakhein Aur Roshni Baant Dein.

Advertisement

Agar Paana Hai Manzil To

Himmat Khade Hone Ki De Do

Advertisement

Read more Motivational Shayari in Hindi