Agar Paana Hai Manzil To
अगर पाना है मंज़िल तो
अपना रहनुमा खुद बनो,
वो अक्सर भटक जाते हैं
जिन्हें सहारा मिल जाता है।
Agar Paana Hai Manzil To
Apna Rehnuma Khud Bano,
Wo Aksar Bhatak Jaate Hain
Jinhein Sahara Mil Jata Hai.
खुदा तौफीक देता है
उन्हें जो यह समझते हैं,
कि खुद अपने ही हाथों से
बना करती हैं तकदीरें।
Khuda Taufeeq Deta Hai
Unhein Jo Ye Samajhte Hain,
Ki Khud Apne Hi Haathon Se
Bana Karti Hain Takdeerein.
इन्हीं ग़म की घटाओं से
खुशी का चाँद निकलेगा,
अंधेरी रात के पर्दों में
दिन की रौशनी भी होगी।
Inhin Gham Ki Ghataaon Se
Khushi Ka Chaand Niklega,
Andheri Raat Ke Pardon Mein
Din Ki Roshni Bhi Hogi.