Khush Rehne Ka Majaa

Advertisement

उदासियों की वजहें तो बहुत हैं ज़िंदगी में,
बेवजह खुश रहने का मजा ही कुछ और है।
Udaasiyo Ki Wajah To Bahut Hain Zindagi Main,
Bewajah Khush Rehne Ka Mazaa Hi Kuchh Aur Hai.

चरागों तक को जहाँ मय्यसर नहीं रौशनी,
लौ उम्मीद की हमने वहाँ भी जलाये रक्खी।
Chiragon Tak Ko Jahan Mayassar Nahi Roshni,
Lau Ummeed Ki Humne Wahan Bhi Jalaaye Rakkhi.

Advertisement

ज़िन्दगी की खरोचों से न घबराइये जनाब,
तराश रही है खुद ज़िन्दगी निखर जाने को।
Zindagi Ki Kharonchon Se Na Ghabraiye Janaab,
Taraash Rahi Hai Khud Zindagi Nikhar Jaane Ko.

अपने किरदार को मौसम से बचाए रखना,
लौट कर फूलों में वापस नहीं आती खुशबू।
Apne Kirdaar Ko Mausam Se Bachaye Rakhna,
Laut Kar Phoolo Mein Wapas Nahi Aati Khushboo.

फासला नजरों का धोखा भी तो हो सकता है,
कोई मिले या ना मिले हाथ बढ़ा कर देखो।
Fasla Najron Ka Dhokha Bhi To Ho Sakta Hai,
Koi Mile Na Mile Haath Barha Kar Dekho.

Advertisement

Bulandiyon Pe Thhaherna

Success Shayari, Aage Nikal Ke Dekh

Advertisement

You may also like