Insaniyat Shayari

Advertisement

Shayari Insaan Ki Khwahishein

इंसान की ख़्वाहिशों की... कोई इन्तेहाँ नहीं,
दो गज़ ज़मीं भी चाहिए दो गज़ कफ़न के बाद।

Insaan Ki Khwahishon Ki... Koi Inteha Nahi,
Do Ghaz Zamin Bhi Chahiye Do Ghaz Kafan Ke Baad.

चंद सिक्कों में बिकता है इंसान का ज़मीर,
कौन कहता है मुल्क में महंगाई बहुत है।

Chand Sikkon Me Bikta Hai Insaan Ka Zamir,
Kaun Kehta Hai Mulk Mein Mehgayi Bahut Hai.

यहाँ लिबास की कीमत है आदमी की नहीं,
मुझे गिलास बड़े दे शराब कम कर दे।

Yehan Libaas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi,
Mujhe Gilaas Bade De Sharaab Kam Kar De.

Advertisement

Jinhein Mahsoos Insaano Ke

Jinhein Mehsoos Insaano Ke Shayari

जिन्हें महसूस इंसानों के रंजो-गम नहीं होते,
वो इंसान हरगिज पत्थरों से कम नहीं होते।

Jinhein Mahsoos Insaano Ke Ranj-o-Gham Nahi Hote,
Wo Insaan Hargij Pattharon Se Kam Nahi Hote.

हर वक़्त नया चेहरा हर बार नया वजूद,
आदमी ने आईने को भी हैरत में डाल दिया है।

Har Waqt Naya Chehra Har Baar Naya Wajood,
Aadmi Ne Aayine Ko Bhi Hairat Mein Daal Diya Hai.

Advertisement

Insaan Bura Nahi Hota Shayari

फितरत, सोच और हालात का फर्क है वरना,
इन्सान कैसा भी हो दिल का बुरा नहीं होता।
Fitrat, Soch, Aur Halaat Ka Fark Hai Verna,
Insaan Kaisa Bhi Ho Dil Ka Bura Nahi Hota.

हम खुदा थे गर न होता दिल में कोई मुद्दा,
आरजूओं ने हमारी हमको बंदा कर दिया।
Hum Khuda The Gar Na Hota Dil Mein Koi Mudda,
Aarzuon Ne Humari Humko Bandaa Kar Diya.

देखें करीब से तो भी अच्छा दिखाई दे,
इक आदमी तो शहर में ऐसा दिखाई दे।
Dekhein Kareeb Se To Bhi Achchha Dikhai De,
Ek Aadmi To Mere Shahar Mein Aisa Dikhai De.

Advertisement

You may also like

12Next ›